main ek KHwab ko jagmagate hue dekhta hun
maiñ ik ḳhvāb ko jagmagāte hue dekhtā huuñ
diyā ik diye se jalāte hue dekhtā huuñ
kabhī surḳh phūloñ se maiñ apnī poreñ jalā kar
sharāroñ ko malhār gaate hue dekhtā huuñ
havā jab kabhī sāhilī giit chheḌe hue ho
maiñ pattoñ ko taalī bajāte hue dekhtā huuñ
sulagtī huī ret par hoñT rakhtā huā maiñ
samundar sā ik jhilmilāte hue dekhtā huuñ
kabhī maiñ use chādar-e-abr par nāḳhunoñ se
musalsal sitāre banāte hue dekhtā huuñ
kabhī us kī maujoñ meñ aflāk bahte mile haiñ
kabhī us ko kashtī chalāte hue dekhtā huuñ
vo paanī meñ jab apnī chhab dekhtā hai to maiñ bhī
nadī chāñdnī meñ nahāte hue dekhtā huuñ
nadī ke udhar ek be-ant manzar hai jis meñ
maiñ har shai ko 'at.har' samāte hue dekhtā huuñ
main ek KHwab ko jagmagate hue dekhta hun
diya ek diye se jalate hue dekhta hun
kabhi surKH phulon se main apni poren jala kar
shararon ko malhaar gate hue dekhta hun
hawa jab kabhi sahili git chheDe hue ho
main patton ko tali bajate hue dekhta hun
sulagti hui ret par honT rakhta hua main
samundar sa ek jhilmilate hue dekhta hun
kabhi main use chadar-e-abr par naKHunon se
musalsal sitare banate hue dekhta hun
kabhi us ki maujon mein aflak bahte mile hain
kabhi us ko kashti chalate hue dekhta hun
wo pani mein jab apni chhab dekhta hai to main bhi
nadi chandni mein nahate hue dekhta hun
nadi ke udhar ek be-ant manzar hai jis mein
main har shai ko 'athar' samate hue dekhta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.