Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

main jab chhoTa sa tha kaghaz pe ye manzar banata tha

Wali Aasi

main jab chhoTa sa tha kaghaz pe ye manzar banata tha

Wali Aasi

MORE BYWali Aasi

    maiñ jab chhoTā thā kāġhaz pe ye manzar banātā thā

    khujūroñ ke daraḳhtoñ ke tale ik ghar banātā thā

    maiñ āñkheñ band kar ke sochtā rahtā thā pahroñ tak

    ḳhayāloñ meñ bahut nāzuk ik paikar banātā thā

    maiñ aksar āsmāñ ke chāñd taare toḌ laatā thā

    aur ik nannhī guḌiyā ke liye zevar banātā thā

    uḌā kar roz le jaatī thiiñ maujeñ mere ḳhvāboñ ko

    magar maiñ bhī gharauñde roz sāhil par banātā thā

    mirī bastī meñ mere ḳhuun ke pyāse the sab lekin

    na maiñ talvār gaḌhtā thā na maiñ ḳhanjar banātā thā

    hidāyat-kār is duniyā ke nāTak meñ mujhe 'vālī'

    kabhī hero banātā thā kabhī joker banātā thā

    main jab chhoTa sa tha kaghaz pe ye manzar banata tha

    khujuron ke daraKHton ke tale ek ghar banata tha

    main aankhen band kar ke sochta rahta tha pahron tak

    KHayalon mein bahut nazuk sa ek paikar banata tha

    main aksar aasman ke chand tare toD lata tha

    aur ek nannhi si guDiya ke liye zewar banata tha

    uDa kar roz le jati thin maujen mere KHwabon ko

    magar main bhi gharaunde roz sahil par banata tha

    meri basti mein mere KHun ke pyase the sab lekin

    na main talwar gaDhta tha na main KHanjar banata tha

    hidayat-kar is duniya ke naTak mein mujhe 'wali'

    kabhi hero banata tha kabhi joker banata tha

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 527)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now