main kaDe imtihan se guzra hun
maiñ kaḌe imtihāñ se guzrā huuñ
jab bhī tere jahāñ se guzrā huuñ
mere har samt jo ujālā hai
maiñ kisī āstāñ se guzrā huuñ
jis ko ye pul-sirāt kahte haiñ
bārhā maiñ vahāñ se guzrā huuñ
karbalā dekh hausla merā
maiñ tire darmiyāñ se guzrā huuñ
merī hālat pe aap mat jaa.eñ
soch leñ maiñ kahāñ se guzrā huuñ
main kaDe imtihan se guzra hun
jab bhi tere jahan se guzra hun
mere har samt jo ujala hai
main kisi aastan se guzra hun
jis ko ye pul-siraat kahte hain
barha main wahan se guzra hun
karbala dekh hausla mera
main tere darmiyan se guzra hun
meri haalat pe aap mat jaen
soch len main kahan se guzra hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.