main kisi aur ke guman mein tha
maiñ kisī aur ke gumān meñ thā
merā dushman mirī amaan meñ thā
jis kā dhaḌkā lagā rahā shab bhar
vo darinda mirī machān meñ thā
mere lahje meñ zahr thā shāyad
par ziyāda tumhāre kaan meñ thā
baat hoñToñ pe ruk nahīñ paa.ī
tiir jaise tanī kamān meñ thā
intiqāman sañvar ke aa.ī thī
ik tamāshā sā ān-bān meñ thā
āstīñ kā jo saañp thā 'sayyad'
ye qasīda usī kī shaan meñ thā
main kisi aur ke guman mein tha
mera dushman meri aman mein tha
jis ka dhaDka laga raha shab bhar
wo darinda meri machan mein tha
mere lahje mein zahr tha shayad
par ziyaada tumhaare kan mein tha
baat honTon pe ruk nahin pai
tir jaise tani kaman mein tha
intiqaman sanwar ke aai thi
ek tamasha sa aan-ban mein tha
aastin ka jo sanp tha 'sayyad'
ye qasida usi ki shan mein tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.