aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

maine ek aawaz suni thi kamre mein KHamoshi ki

Yasir Raza Asif

maine ek aawaz suni thi kamre mein KHamoshi ki

Yasir Raza Asif

MORE BYYasir Raza Asif

    maiñ ne ik āvāz sunī thī kamre meñ ḳhāmoshī

    mere kaan meñ aa kar terī yādoñ ne sargoshī

    kuchh to ghar rasta maiñ bhī apnī dhun meñ bhuul gayā

    aur nashīlī āñkhoñ ne bhī taarī kuchh mad.hoshī

    ham ne phūloñ se misroñ ko ḳhūn-e-dil se yuuñ sīñchā

    saarī umr ḳhushbū bāñTī ham ne itr-faroshī

    apnoñ ne rāzoñ gaThḌī biich chaurāhe meñ rakh

    logoñ ne to baat uchhālī rab ne parda-poshī

    kitne an-dekhe manzar mujh se bāteñ karte haiñ

    jab bhī ġhazleñ paḌhtā huuñ maiñ 'sāġhar' 'mohsin' 'doshī'

    ham ne sochā aur dhueñ ne ḳhadd-o-ḳhāl banā Daale

    ham ne terā hijr manāyā khul kar cigarette-noshī

    ḳhvāboñ duniyā se 'āsif' ab to bāhar aa jaao

    taptā sūraj sar par hai aur bāteñ rākā-poshī

    main ne ek aawaz suni thi kamre mein KHamoshi ki

    mere kan mein aa kar teri yaadon ne sargoshi ki

    kuchh to ghar ka rasta main bhi apni dhun mein bhul gaya

    aur nashili aankhon ne bhi tari kuchh madhoshi ki

    hum ne phulon se misron ko KHun-e-dil se yun sincha

    sari umr hi KHushbu banTi hum ne itr-faroshi ki

    apnon ne raazon ki gaThDi bich chaurahe mein rakh di

    logon ne to baat uchhaali rab ne parda-poshi ki

    kitne hi an-dekhe manzar mujh se baaten karte hain

    jab bhi ghazlen paDhta hun main 'saghar' 'mohsin' 'doshi' ki

    hum ne socha aur dhuen ne KHadd-o-KHal bana Dale

    hum ne tera hijr manaya khul kar cigarette-noshi ki

    KHwabon ki duniya se 'asif' ab to bahar aa jao

    tapta suraj sar par hai aur baaten raka-poshi ki

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now