Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

maine un se jo kaha dhyan mera kuchh bhi nahin

Dattatriya Kaifi

maine un se jo kaha dhyan mera kuchh bhi nahin

Dattatriya Kaifi

MORE BYDattatriya Kaifi

    maiñ ne un se jo kahā dhyān mirā kuchh bhī nahīñ

    haa.e kis naaz se hañs hañs ke kahā kuchh bhī nahīñ

    arz kuchh dil-e-āshiq ḳhabar hai to kahā

    haañ nahīñ kuchh nahīñ bas kah to diyā kuchh bhī nahīñ

    na aayā shab-e-va.ada to gayā kyā terā

    mar miTe ham tire nazdīk huā kuchh bhī nahīñ

    kyā hai anjām-e-mohabbat koī pūchhe ham se

    jīte-jī ḳhaak meñ milne ke sivā kuchh bhī nahīñ

    kis mehr aur vafā ab hai jafā se bhī gurez

    kyuuñ na jal kar kaheñ ulfat meñ mazā kuchh bhī nahīñ

    āñkhoñ āñkhoñ meñ dil le gayā siine se nikāl

    haath se ham ne diyā us ne liyā kuchh bhī nahīñ

    mire allāh ye patthar ki butoñ dil hai

    rahm rusvā.ī Dar ḳhauf-e-ḳhudā kuchh bhī nahīñ

    kaun dard hai jis nahīñ duniyā meñ ilaaj

    lekin is dard-e-mohabbat davā kuchh bhī nahīñ

    dekhā 'kaifī' ko to be-sāḳhta yuuñ bol uThe

    ab to bīmār-e-mohabbat meñ rahā kuchh bhī nahīñ

    main ne un se jo kaha dhyan mera kuchh bhi nahin

    hae kis naz se hans hans ke kaha kuchh bhi nahin

    arz ki kuchh dil-e-ashiq ki KHabar hai to kaha

    han nahin kuchh nahin bas kah to diya kuchh bhi nahin

    tu na aaya shab-e-wada to gaya kya tera

    mar miTe hum tere nazdik hua kuchh bhi nahin

    kya hai anjam-e-mohabbat koi puchhe hum se

    jite-ji KHak mein milne ke siwa kuchh bhi nahin

    kis ki mehr aur wafa ab hai jafa se bhi gurez

    kyun na jal kar kahen ulfat mein maza kuchh bhi nahin

    aankhon hi aankhon mein dil le gaya sine se nikal

    hath se hum ne diya us ne liya kuchh bhi nahin

    mere allah ye patthar ki buton ka dil hai

    rahm ruswai ka Dar KHauf-e-KHuda kuchh bhi nahin

    kaun sa dard hai jis ka nahin duniya mein ilaj

    lekin is dard-e-mohabbat ki dawa kuchh bhi nahin

    dekha 'kaifi' ko to be-saKHta yun bol uThe

    ab to bimar-e-mohabbat mein raha kuchh bhi nahin

    Source:

    Waridat (Pg. 466)

    • Author: Dattatriya Kaifi
      • Edition: 1941
      • Publisher: Measures Ram Lal Soori and Son's, Anarkali, Lahore
      • Year of Publication: 1941
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now