aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

main pahuncha apni manzil tak magar aahista aahista

Abdul Mannan Tarzi

main pahuncha apni manzil tak magar aahista aahista

Abdul Mannan Tarzi

MORE BYAbdul Mannan Tarzi

    maiñ pahuñchā apnī manzil tak magar āhista āhista

    kiyā hai puurā ik mushkil safar āhista āhista

    nahīñ āsāñ harīm-e-nāz tak thī rasā.ī bhī

    hue tasḳhīr lekin bām-o-dar āhista āhista

    matā-e-azm-e-mohkam is ko mo.ajiza kahiye

    ki manzil ban ga.ī ḳhud rahguzar āhista āhista

    bahut saḳht garche zindagī ke ma.arke the bhī

    khulā hai mujh pe har bāb-e-zafar āhista āhista

    rahā hai rishta aisā sañg-o-tesha se ki le aayā

    maiñ jū-e-shīr ik shīrīñ ke ghar āhista āhista

    hunar aisā charāġhoñ ke dhuāñ piine se aayā hai

    ki shabnam meñ badal jaate sharar āhista āhista

    nahīñ kuchh kaam aa.ī hai kisī kīmiyā-sāzī

    bane qatre pasīne ke guhar āhista āhista

    sitāroñ ko banānā āftāb āsāñ nahīñ hotā

    kiye kuchh ma.arke aise bhī sar āhista āhista

    satā.ish nukta-chīnī aur sile se be-niyāzāna

    maiñ bas chaltā rahā apnī Dagar āhista āhista

    faqat ik sa.ī-e-paiham zindagī apnī unvāñ hai

    shab-e-tārīk se phūTī sahar āhista āhista

    falak ke chāñd tāroñ se raqābat bhī nahīñ lekin

    kiyā dāman ko ḳhud rashk-e-qamar āhista āhista

    gul-o-ġhuncha ki rañg-o-bū meñ letā huuñ sab un meñ

    khile haiñ is tarah dāġh-e-jigar āhista āhista

    hisār-e-nā-shanāsāñ ho ki bazm-e-nukta-chīnāñ ho

    mujhe aa gayā karnā basar āhista āhista

    maiñ dillī lucknow meñ garche pahle se thā lekin

    huā huuñ ghar meñ 'tarzī' mo'atabar āhista āhista

    main pahuncha apni manzil tak magar aahista aahista

    kiya hai pura ek mushkil safar aahista aahista

    nahin aasan harim-e-naz tak ki thi rasai bhi

    hue tasKHir lekin baam-o-dar aahista aahista

    mata-e-azm-e-mohkam hi ka is ko moajiza kahiye

    ki manzil ban gai KHud rahguzar aahista aahista

    bahut hi saKHt garche zindagi ke marke the bhi

    khula hai mujh pe har bab-e-zafar aahista aahista

    raha hai rishta aisa sang-o-tesha se ki le aaya

    main ju-e-shir ek shirin ke ghar aahista aahista

    hunar aisa charaghon ke dhuan pine se aaya hai

    ki shabnam mein badal jate sharar aahista aahista

    nahin kuchh kaam aai hai kisi ki kimiya-sazi

    bane qatre pasine ke guhar aahista aahista

    sitaron ko banana aaftab aasan nahin hota

    kiye kuchh marke aise bhi sar aahista aahista

    sataish nukta-chini aur sile se be-niyazana

    main bas chalta raha apni Dagar aahista aahista

    faqat ek sai-e-paiham zindagi ka apni unwan hai

    shab-e-tarik se phuTi sahar aahista aahista

    falak ke chand taron se raqabat bhi nahin lekin

    kiya daman ko KHud rashk-e-qamar aahista aahista

    gul-o-ghuncha ki rang-o-bu mein pa leta hun sab un mein

    khile hain is tarah dagh-e-jigar aahista aahista

    hisar-e-na-shanasan ho ki bazm-e-nukta-chinan ho

    mujhe aa hi gaya karna basar aahista aahista

    main dilli lucknow mein garche pahle hi se tha lekin

    hua hun ghar mein 'tarzi' mo'atabar aahista aahista

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now