aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

main ro raha hun teri nazar hai itab ki

Josh Malihabadi

main ro raha hun teri nazar hai itab ki

Josh Malihabadi

MORE BYJosh Malihabadi

    maiñ ro rahā huuñ terī nazar hai itaab

    shabnam ko rahī hai kiran āftāb

    bujhne pe dil hai saañs meñ bhī zābta nahīñ

    zālim duhā.ī hai tire zor-e-shabāb

    manzūr hai ḳhudā ko to pahuñchūñgā roz-e-hashr

    chehre pe ḳhaak mal ke dar-e-būturāb

    sūrat-parast merī nigāhoñ ne asl meñ

    dil kyā mire vajūd miTTī ḳharāb

    har pañkhuḌī ke taaq meñ hañs hañs ke sub.h ko

    sham.eñ jalā rahī hai kiran āftāb

    main ro raha hun teri nazar hai itab ki

    shabnam ko pi rahi hai kiran aaftab ki

    bujhne pe dil hai sans mein bhi zabta nahin

    zalim duhai hai tere zor-e-shabab ki

    manzur hai KHuda ko to pahunchunga roz-e-hashr

    chehre pe KHak mal ke dar-e-buturab ki

    surat-parast meri nigahon ne asl mein

    dil kya mere wajud ki miTTi KHarab ki

    har pankhuDi ke taq mein hans hans ke subh ko

    shamen jala rahi hai kiran aaftab ki

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 74)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now