Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

main tere zulm dikhata hun apna matam karne ke liye

Saqi Faruqi

main tere zulm dikhata hun apna matam karne ke liye

Saqi Faruqi

MORE BYSaqi Faruqi

    maiñ tere zulm dikhātā huuñ apnā mātam karne ke liye

    mirī āñkhoñ meñ aañsū aa.e tirī āñkheñ nam karne ke liye

    miTTī se huā mansūb magar ātish-ḳhāna jaltā huuñ

    ka.ī sūraj mujh meñ Duub ga.e mirā saaya kam karne ke liye

    vo yaad ke sāhil par saare motī bikhrā.e baiThī thī

    ik lahar lahū meñ uTThī thī mujhe tāza-dam karne ke liye

    aaj apne zahr se kaaT diyā sab zañg purāne lafzoñ

    ā.inda ke andeshoñ tārīḳh raqam karne ke liye

    mumkin hai ki ab bhī hoñToñ par koī bhūlā bisrā sho'la ho

    maiñ jalte jalte raakh huā lahja maddham karne ke liye

    main tere zulm dikhata hun apna matam karne ke liye

    meri aankhon mein aansu aae teri aankhen nam karne ke liye

    miTTi se hua mansub magar aatish-KHana sa jalta hun

    kai suraj mujh mein Dub gae mera saya kam karne ke liye

    wo yaad ke sahil par sare moti bikhrae baiThi thi

    ek lahar lahu mein uTThi thi mujhe taza-dam karne ke liye

    aaj apne zahr se kaT diya sab zang purane lafzon ka

    aainda ke andeshon ki tariKH raqam karne ke liye

    mumkin hai ki ab bhi honTon par koi bhula bisra sho'la ho

    main jalte jalte rakh hua lahja maddham karne ke liye

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Saqi Faruqi

    Saqi Faruqi

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    main tere zulm dikhata hun apna matam karne ke liye Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now