Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

main to jhonka hun hawaon ka uDa le jaunga

Kumar Vishwas

main to jhonka hun hawaon ka uDa le jaunga

Kumar Vishwas

MORE BYKumar Vishwas

    maiñ to jhoñkā huuñ havāoñ uḌā le jā.ūñgā

    jāgtī rahnā tujhe tujh se churā le jā.ūñgā

    ho ke qadmoñ pe nichhāvar phuul ne but se kahā

    ḳhaak meñ mil kar bhī maiñ ḳhushbū bachā le jā.ūñgā

    kaun shai mujh ko pahuñchā.egī tere shahr tak

    ye patā to tab chalegā jab patā le jā.ūñgā

    koshisheñ mujh ko miTāne bhale hoñ kāmyāb

    miTte miTte bhī maiñ miTne maza le jā.ūñgā

    shohrateñ, jin vaj.h se dost dushman ho ga.e

    sab yahīñ rah jā.eñgī maiñ saath kyā le jā.ūñgā

    main to jhonka hun hawaon ka uDa le jaunga

    jagti rahna tujhe tujh se chura le jaunga

    ho ke qadmon pe nichhawar phul ne but se kaha

    KHak mein mil kar bhi main KHushbu bacha le jaunga

    kaun si shai mujh ko pahunchaegi tere shahr tak

    ye pata to tab chalega jab pata le jaunga

    koshishen mujh ko miTane ki bhale hon kaamyab

    miTte miTte bhi main miTne ka maza le jaunga

    shohraten, jin ki wajh se dost dushman ho gae

    sab yahin rah jaengi main sath kya le jaunga

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now