Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

main uski baat ki tardid karne wala tha

Rajinder Manchanda Bani

main uski baat ki tardid karne wala tha

Rajinder Manchanda Bani

MORE BYRajinder Manchanda Bani

    maiñ us baat tardīd karne vaalā thā

    ik aur hādsa mujh par guzarne vaalā thā

    kahīñ se aa gayā ik abr darmiyāñ varna

    mire badan meñ ye sūraj utarne vaalā thā

    mujhe sambhāl liyā terī ek aahaT ne

    sukūt-e-shab tarah maiñ bikharne vaalā thā

    ajiib lamha-e-kamzor se maiñ guzrā huuñ

    tamām silsila pal meñ bikharne vaalā thā

    maiñ laḌkhaḌā gayā sāya-e-shajar meñ zarūr

    maiñ rāste meñ magar kab Thaharne vaalā thā

    ab āsmāñ bhī baḌā shānt hai zamīñ bhī sukhī

    guzar gayā hai jo ham par guzarne vaalā thā

    lagā jo piiTh meñ aa kar vo tiir thā kis

    maiñ dushmanoñ safoñ meñ na marne vaalā thā

    main us ki baat ki tardid karne wala tha

    ek aur hadsa mujh par guzarne wala tha

    kahin se aa gaya ek abr darmiyan warna

    mere badan mein ye suraj utarne wala tha

    mujhe sambhaal liya teri ek aahaT ne

    sukut-e-shab ki tarah main bikharne wala tha

    ajib lamha-e-kamzor se main guzra hun

    tamam silsila pal mein bikharne wala tha

    main laDkhaDa sa gaya saya-e-shajar mein zarur

    main raste mein magar kab Thaharne wala tha

    ab aasman bhi baDa shant hai zamin bhi sukhi

    guzar gaya hai jo hum par guzarne wala tha

    laga jo piTh mein aa kar wo tir tha kis ka

    main dushmanon ki safon mein na marne wala tha

    Source :
    • Book : Kulliyat-e-bani (Pg. 45)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now