Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

main us pari ka agar muddaa nahin samjha

Ghulam Husain Sajid

main us pari ka agar muddaa nahin samjha

Ghulam Husain Sajid

MORE BYGhulam Husain Sajid

    maiñ us parī agar mudda.ā nahīñ samjhā

    samajh meñ kyā nahīñ aayā maiñ kyā nahīñ samjhā

    yahī bahut hai ki is baar bhī maiñ dushman ko

    burā samajhte hue bhī burā nahīñ samjhā

    vo māntā hai mire iḳhtilāf ke haq ko

    use biThāyā hai sar par ḳhudā nahīñ samjhā

    charāġh-o-ā.ina hairān kyuuñ nahīñ hoñge

    ki maiñ sabāhat-e-gul adā nahīñ samjhā

    kisī bikharte hue ḳhvāb ke ta.āqub meñ

    nikal paḌā huuñ magar rāsta nahīñ samjhā

    bahut se rañj sahe apnī jaan par lekin

    tire vajūd ko ḳhud se judā nahīñ samjhā

    hazār maiñ ne har ik chiiz vazāhat

    magar vo shaḳhs mirā mas.ala nahīñ samjhā

    usī ne aag lagā.ī thī mere hāthoñ ko

    jise maiñ bhuul se barg-e-hinā nahīñ samjhā

    kisī uḌtī huī niiñd haqīqat ko

    nagar meñ koī bhī mere sivā nahīñ samjhā

    khaḌā huā thā kahīñ bām-e-arsh par 'sājid'

    magar zamīn ko tahtus-surā nahīñ samjhā

    main us pari ka agar muddaa nahin samjha

    samajh mein kya nahin aaya main kya nahin samjha

    yahi bahut hai ki is bar bhi main dushman ko

    bura samajhte hue bhi bura nahin samjha

    wo manta hai mere iKHtilaf ke haq ko

    use biThaya hai sar par KHuda nahin samjha

    charagh-o-aina hairan kyun nahin honge

    ki main sabahat-e-gul ki ada nahin samjha

    kisi bikharte hue KHwab ke taaqub mein

    nikal paDa hun magar rasta nahin samjha

    bahut se ranj sahe apni jaan par lekin

    tere wajud ko KHud se juda nahin samjha

    hazar main ne har ek chiz ki wazahat ki

    magar wo shaKHs mera masala nahin samjha

    usi ne aag lagai thi mere hathon ko

    jise main bhul se barg-e-hina nahin samjha

    kisi ki uDti hui nind ki haqiqat ko

    nagar mein koi bhi mere siwa nahin samjha

    khaDa hua tha kahin baam-e-arsh par 'sajid'

    magar zamin ko tahtus-sura nahin samjha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now