main zindagi ke sath yun hisab kar ke aa gaya
maiñ zindagī ke saath yuuñ hisāb kar ke aa gayā
jo the mu'āmalāt sab ḳharāb kar ke aa gayā
tamām ahl-e-shahr kī samā'ateñ niDhāl thiiñ
zabāñ-darāz maiñ bhī thā ḳhitāb kar ke aa gayā
abhī vo aañkh marhale meñ thī ki ban sake sadā
maiñ us ko paḌh ke yuuñ uThā kitāb kar ke aa gayā
rivāyatoñ se kab nikal sakā maiñ shā'irī meñ bhī
nazar ko tiir chehre ko gulāb kar ke aa gayā
main zindagi ke sath yun hisab kar ke aa gaya
jo the mu'amalat sab KHarab kar ke aa gaya
tamam ahl-e-shahr ki sama'aten niDhaal thin
zaban-daraaz main bhi tha KHitab kar ke aa gaya
abhi wo aankh marhale mein thi ki ban sake sada
main us ko paDh ke yun uTha kitab kar ke aa gaya
riwayaton se kab nikal saka main sha'iri mein bhi
nazar ko tir chehre ko gulab kar ke aa gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.