Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

majnun ko apni laila ka mahmil aziz hai

Meer Hasan

majnun ko apni laila ka mahmil aziz hai

Meer Hasan

MORE BYMeer Hasan

    majnūñ ko apnī lailā mahmil aziiz hai

    dil meñ hai hamāre hameñ dil aziiz hai

    abrū-o-chashm-o-zulf mizha to kahiye kyā

    ham ko to tere muñh se tirā til aziiz hai

    dil ko kiyā jo qatl to us ne bhalā kiyā

    mujh ko to apne dil se vo qātil aziiz hai

    itnā nahīñ koī ki pakaḌ āstīñ mirī

    us se kahe ki tujh pe ye maa.il aziiz hai

    baiThte haiñ chhup ke kabhī ham bhī us jagah

    is vāste hameñ tirī mahfil aziiz hai

    ik naqsh de ki jis se musaḳhḳhar ho vo parī

    aisā bhī dosto koī aamil aziiz hai

    kyūñkar karūñ na is dil-e-majrūh ilaaj

    muddat hai rafīq ye ghāyal aziiz hai

    ne huur na parī hai na vo māh-mushtarī

    ik nuur hai ki sab ko vo hāsil aziiz hai

    hijrāñ meñ intizār bhī hai us muġhtanim

    jo Dūbtā ho us ko to sāhil aziiz hai

    ān-o-adā meñ Thor rakhtā hai ḳhalq ko

    apne to fan meñ ek vo kāmil aziiz hai

    kyūñkar na chāhe us ko har ik jaan tarah

    ḳhvāhish meñ us sab haiñ vo har dil aziiz hai

    hir-phir ke tere kūche meñ karte haiñ ham maqām

    ham se musāfiroñ ko ye manzil aziiz hai

    sohbat se koī kyūñki 'hasan' ke na hove ḳhush

    shā.ir hai yār-bāsh hai qābil aziiz hai

    majnun ko apni laila ka mahmil aziz hai

    tu dil mein hai hamare hamein dil aziz hai

    abru-o-chashm-o-zulf mizha ki to kahiye kya

    hum ko to tere munh se tera til aziz hai

    dil ko kiya jo qatl to us ne bhala kiya

    mujh ko to apne dil se wo qatil aziz hai

    itna nahin koi ki pakaD aastin meri

    us se kahe ki tujh pe ye mail aziz hai

    ja baiThte hain chhup ke kabhi hum bhi us jagah

    is waste hamein teri mahfil aziz hai

    ek naqsh de ki jis se musaKHKHar ho wo pari

    aisa bhi dosto koi aamil aziz hai

    kyunkar karun na is dil-e-majruh ka ilaj

    muddat ka hai rafiq ye ghayal aziz hai

    ne hur na pari hai na wo mah-mushtari

    ek nur hai ki sab ko wo hasil aziz hai

    hijran mein intizar bhi hai us ka mughtanim

    jo Dubta ho us ko to sahil aziz hai

    aan-o-ada mein Thor hi rakhta hai KHalq ko

    apne to fan mein ek wo kaamil aziz hai

    kyunkar na chahe us ko har ek jaan ki tarah

    KHwahish mein us ki sab hain wo har dil aziz hai

    hir-phir ke tere kuche mein karte hain hum maqam

    hum se musafiron ko ye manzil aziz hai

    sohbat se koi kyunki 'hasan' ke na howe KHush

    shair hai yar-bash hai qabil aziz hai

    Source:

    Deewan-e-Meer Hasan (Pg. 88)

    • Author: Meer Hasan
      • Edition: 1912
      • Publisher: Munshi Nawal Kishor, Lucknow
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now