aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

manzar-e-waqt ki yaksani mein baiTha hua hun

Ejaz Gul

manzar-e-waqt ki yaksani mein baiTha hua hun

Ejaz Gul

MORE BYEjaz Gul

    manzar-e-vaqt yaksānī meñ baiThā huā huuñ

    raat din ek vīrānī meñ baiThā huā huuñ

    koī sāmān-e-safar hai na masāfat dar-pesh

    mutma.in be-sar-o-sāmānī meñ baiThā huā huuñ

    kabhī nāyāft hai to kabhī kam-yāft ġham

    vaj.h-be-vaj.h pareshānī meñ baiThā huā huuñ

    kār-e-dushvār hai āġhāz se munkir jab tak

    kār-e-be-kār āsānī meñ baiThā huā huuñ

    kal kahīñ rafta meñ thā haal hairat asiir

    ab kisī fardā hairānī meñ baiThā huā huuñ

    ḳhair ham-zād mirā duur tamāshā.ī hai

    shar huuñ aur fitrat-e-insānī meñ baiThā huā huuñ

    jism huuñ aur nafas Thahrā hai zāmin merā

    sā.at-e-umr nigrānī meñ baiThā huā huuñ

    ek bāzār-e-tilismāt hai jis ke andar

    jeb-e-ḳhālī tirī arzānī meñ baiThā huā huuñ

    reg-tā-reg huuñ phailā huā sahrā tarah

    aur sarāboñ farāvānī meñ baiThā huā huuñ

    aisā sannāTā hai āvāz se haul aatā hai

    ik bayābāñ bayābānī meñ baiThā huā huuñ

    na maiñ bilqīs ki ho shahr-e-sabā ḳhvāhish

    na ġham-e-taḳht-e-sulaimānī meñ baiThā huā huuñ

    manzar-e-waqt ki yaksani mein baiTha hua hun

    raat din ek si virani mein baiTha hua hun

    koi saman-e-safar hai na masafat dar-pesh

    mutmain be-sar-o-samani mein baiTha hua hun

    kabhi nayaft ka hai to kabhi kam-yaft ka gham

    wajh-be-wajh pareshani mein baiTha hua hun

    kar-e-dushwar hai aaghaz se munkir jab tak

    kar-e-be-kar ki aasani mein baiTha hua hun

    kal kahin rafta mein tha haal ki hairat ka asir

    ab kisi farda ki hairani mein baiTha hua hun

    KHair ham-zad mera dur tamashai hai

    shar hun aur fitrat-e-insani mein baiTha hua hun

    jism hun aur nafas Thahra hai zamin mera

    saat-e-umr ki nigrani mein baiTha hua hun

    ek bazar-e-tilismat hai jis ke andar

    jeb-e-KHali teri arzani mein baiTha hua hun

    reg-ta-reg hun phaila hua sahra ki tarah

    aur sarabon ki farawani mein baiTha hua hun

    aisa sannaTa hai aawaz se haul aata hai

    ek bayaban sa bayabani mein baiTha hua hun

    na main bilqis ki ho shahr-e-saba ki KHwahish

    na gham-e-taKHt-e-sulaimani mein baiTha hua hun

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now