Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

manzar ka ehsan utara ja sakta hai

Osama Zakir

manzar ka ehsan utara ja sakta hai

Osama Zakir

MORE BYOsama Zakir

    manzar ehsān utārā saktā hai

    aañkh ko yaarā bhūkā maarā saktā hai

    āñgan āñgan aag ugaa.ī saktī hai

    kamroñ meñ dariyā kinārā saktā hai

    kirchī kirchī ḳhvāb chamaktā hai āñkhoñ meñ

    un se ab duniyā ko sañvārā saktā hai

    būñdoñ meñ aa.ine ghole sakte haiñ

    chādar-e-tan meñ safar guzārā saktā hai

    jism-o-dil Than jaane par yaad rakho

    jism ko jiito dil to haarā saktā hai

    jis bastī ke rāshan ghar meñ ḳhuun bañTe

    vahāñ faqat lāshoñ ko sañvārā saktā hai

    jis āñgan sāñvaliyāñ roTī jīteñ

    us ke tave par chāñd utārā saktā hai

    ātish-dāñ siina ThanDā ho saktā hai

    barf TukḌā ban ke sharāra saktā hai

    manzar ka ehsan utara ja sakta hai

    aankh ko yara bhuka mara ja sakta hai

    aangan aangan aag ugai ja sakti hai

    kamron mein dariya ka kinara ja sakta hai

    kirchi kirchi KHwab chamakta hai aankhon mein

    un se ab duniya ko sanwara ja sakta hai

    bundon mein aaine ghole ja sakte hain

    chadar-e-tan mein safar guzara ja sakta hai

    jism-o-dil ki Than jaane par yaad rakho

    jism ko jito dil to haara ja sakta hai

    jis basti ke rashan ghar mein KHun banTe

    wahan faqat lashon ko sanwara ja sakta hai

    jis aangan ki sanwaliyan roTi jiten

    us ke tawe par chand utara ja sakta hai

    aatish-dan ka sina ThanDa ho sakta hai

    barf ka TukDa ban ke sharara ja sakta hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now