Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

manzar ko kisi tarah badalne ki dua de

Sheen Kaaf Nizam

manzar ko kisi tarah badalne ki dua de

Sheen Kaaf Nizam

MORE BYSheen Kaaf Nizam

    manzar ko kisī tarah badalne duā de

    de raat ThanDak ko pighalne duā de

    ai sā.at-e-vīrān ke be-ḳhvāb farishte

    ab chīḳh ko siine se nikalne duā de

    patte ko parindoñ panāhoñ pe lagā de

    peḌoñ ko yahāñ phūlne phalne duā de

    paḌh aisā vazīfa ki ye kohsār na ujḌe

    chashmoñ ko pahāḌoñ se ubalne duā de

    ab toḌ takānoñ ke takalluf se ta.alluq

    pazhmurda tabī.at ko phisalne duā de

    āfāq dīvāroñ āġhosh ko kar

    ab matl.a-e-maujūd ko khulne duā de

    ham bhuul jaa.eñ na kisī shakl-e-sahar ko

    ab shab ko kisī taur se Dhalne duā de

    manzar ko kisi tarah badalne ki dua de

    de raat ki ThanDak ko pighalne ki dua de

    ai saat-e-viran ke be-KHwab farishte

    ab chiKH ko sine se nikalne ki dua de

    patte ko parindon ki panahon pe laga de

    peDon ko yahan phulne phalne ki dua de

    paDh aisa wazifa ki ye kohsar na ujDe

    chashmon ko pahaDon se ubalne ki dua de

    ab toD takanon ke takalluf se talluq

    pazhmurda tabiat ko phisalne ki dua de

    aafaq ki diwaron ki aaghosh ko wa kar

    ab matla-e-maujud ko khulne ki dua de

    hum bhul hi jaen na kisi shakl-e-sahar ko

    ab shab ko kisi taur se Dhalne ki dua de

    Source:

    Rasta Ye Kahin Nahin Jata (Pg. 66)

    • Author: Sheen Kaaf Nizam
      • Edition: 2010
      • Publisher: Vagdevi Publication
      • Year of Publication: 2010
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now