Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

manzil pe dhyan humne zara bhi agar diya

Aalok Shrivastav

manzil pe dhyan humne zara bhi agar diya

Aalok Shrivastav

MORE BYAalok Shrivastav

    manzil pe dhyān ham ne zarā bhī agar diyā

    ākāsh ne Dagar ko ujāloñ se bhar diyā

    rukne bhuul haar kāran na ban sakī

    chalne dhun ne raah ko āsān kar diyā

    paanī ke bulbuloñ safar jānte hue

    tohfe meñ dil na denā thā ham ne magar diyā

    pīpal chhāñv bujh ga.ī tālāb saḌ ga.e

    kis ne ye mere gaañv pe ehsān kar diyā

    ghar khet gaa.e bail raqam ab kahāñ rahe

    jo kuchh thā sab nikāl ke fasloñ meñ bhar diyā

    manDī ne luuT liiñ javāñ-fasleñ kisān

    qarze ne ḳhud-kushī taraf dhyān kar diyā

    manzil pe dhyan hum ne zara bhi agar diya

    aakash ne Dagar ko ujalon se bhar diya

    rukne ki bhul haar ka karan na ban saki

    chalne ki dhun ne rah ko aasan kar diya

    pani ke bulbulon ka safar jaante hue

    tohfe mein dil na dena tha hum ne magar diya

    pipal ki chhanw bujh gai talab saD gae

    kis ne ye mere ganw pe ehsan kar diya

    ghar khet gae bail raqam ab kahan rahe

    jo kuchh tha sab nikal ke faslon mein bhar diya

    manDi ne luT lin jawan-faslen kisan ki

    qarze ne KHud-kushi ki taraf dhyan kar diya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now