Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

maqtal mein aaj hausla dil ka nikal gaya

Aashiq Husain Bazm Afandi

maqtal mein aaj hausla dil ka nikal gaya

Aashiq Husain Bazm Afandi

MORE BYAashiq Husain Bazm Afandi

    maqtal meñ aaj hausla dil nikal gayā

    sab apne paañv se ga.e maiñ sar ke bal gayā

    manzūr dil thā unheñ lenā so le chuke

    ab kyoñ vo paas ā.eñge matlab nikal gayā

    qismat to dekhiye jo shab-e-vasl aa.ī bhī

    shikve shikāyatoñ meñ sab vaqt Tal gayā

    aate fasl-e-gul ke junūñ huā ye josh

    dīvāna un jaame se bāhar nikal gayā

    baaqī haiñ ba.ad-e-qatl bhī ulfat garmiyāñ

    dil taḌap na kam huī go dam nikal gayā

    un nigāh-e-qahr se ab kyā bachegā dil

    palTā nahīñ jo tiir kamāñ se nikal gayā

    is Dar se naala kar nahīñ saktā firāq meñ

    mar jā.ūñgā jo vo dil-e-nāzuk dahal gayā

    kāñToñ ābloñ se ġhanīmat thī nok jhoñk

    vahshī tere dasht meñ kuchh bahal gayā

    sābit-qadam hamīñ haiñ na ġhairoñ ko muñh lagāo

    koī na hogā un meñ se joban jo Dhal gayā

    ai 'bazm' mujh se karte vo iqrār-e-vasl kyā

    vo to ye kahiye un zabāñ se nikal gayā

    maqtal mein aaj hausla dil ka nikal gaya

    sab apne panw se gae main sar ke bal gaya

    manzur dil ka tha unhen lena so le chuke

    ab kyon wo pas aaenge matlab nikal gaya

    qismat to dekhiye jo shab-e-wasl aai bhi

    shikwe shikayaton hi mein sab waqt Tal gaya

    aate hi fasl-e-gul ke junun ka hua ye josh

    diwana un ka jame se bahar nikal gaya

    baqi hain baad-e-qatl bhi ulfat ki garmiyan

    dil ki taDap na kam hui go dam nikal gaya

    un ki nigah-e-qahr se ab kya bachega dil

    palTa nahin jo tir kaman se nikal gaya

    is Dar se nala kar nahin sakta firaq mein

    mar jaunga jo wo dil-e-nazuk dahal gaya

    kanTon ki aablon se ghanimat thi nok jhonk

    wahshi ka tere dasht mein kuchh ji bahal gaya

    sabit-qadam hamin hain na ghairon ko munh lagao

    koi na hoga un mein se joban jo Dhal gaya

    ai 'bazm' mujh se karte wo iqrar-e-wasl kya

    wo to ye kahiye un ki zaban se nikal gaya

    Source:

    Ayagh-e-Bazm (Pg. 39)

    • Author: Aashiq Husain Bazm Afandi
      • Publisher: Agra Akhbar Press, Agra
      • Year of Publication: 1927
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now