Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mar gae ai wah unki naz-bardari mein hum

Bahadur Shah Zafar

mar gae ai wah unki naz-bardari mein hum

Bahadur Shah Zafar

MORE BYBahadur Shah Zafar

    mar ga.e ai vaah un nāz-bardārī meñ ham

    dil ke hāthoñ se paḌe kaisī giraftārī meñ ham

    sab pe raushan hai hamārī sozish-e-dil bazm meñ

    sham.a saañ jalte haiñ apnī garm-bāzārī meñ ham

    yaad meñ hai tere dam āmad-o-shud pur-ḳhayāl

    be-ḳhabar sab se haiñ is dam ḳhabardārī meñ ham

    jab hañsāyā gardish-e-gardūñ ne ham ko shakl-e-gul

    misl-e-shabnam haiñ hamesha girya o zaarī meñ ham

    chashm o dil biinā hai apne roz o shab ai mardumāñ

    garche sote haiñ ba-zāhir par haiñ bedārī meñ ham

    dosh par raḳht-e-safar bāñdhe hai kyā ġhuncha sabā

    dekhte haiñ sab ko yaañ jaise ki tayyārī meñ ham

    kab talak be-dīd se rab rakheñ chashm-e-vafā

    lag rahe haiñ aaj kal to dil ġham-ḳhvārī meñ ham

    dekh kar ā.īna kyā kahtā hai yaaro ab vo shoḳh

    maah se sad chand behtar haiñ adā-dārī meñ ham

    ai 'zafar' likh ġhazal bahr o qavāfī pher kar

    ḳhāma-e-dur-rez se haiñ ab guhar-bārī meñ ham

    mar gae ai wah un ki naz-bardari mein hum

    dil ke hathon se paDe kaisi giraftari mein hum

    sab pe raushan hai hamari sozish-e-dil bazm mein

    shama san jalte hain apni garm-bazari mein hum

    yaad mein hai tere dam ki aamad-o-shud pur-KHayal

    be-KHabar sab se hain is dam ki KHabardari mein hum

    jab hansaya gardish-e-gardun ne hum ko shakl-e-gul

    misl-e-shabnam hain hamesha girya o zari mein hum

    chashm o dil bina hai apne roz o shab ai marduman

    garche sote hain ba-zahir par hain bedari mein hum

    dosh par raKHt-e-safar bandhe hai kya ghuncha saba

    dekhte hain sab ko yan jaise ki tayyari mein hum

    kab talak be-did se ya rab rakhen chashm-e-wafa

    lag rahe hain aaj kal to dil ki gham-KHwari mein hum

    dekh kar aaina kya kahta hai yaro ab wo shoKH

    mah se sad chand behtar hain ada-dari mein hum

    ai 'zafar' likh tu ghazal bahr o qawafi pher kar

    KHama-e-dur-rez se hain ab guhar-bari mein hum

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Mehran Amrohi

    Mehran Amrohi

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    mar gae ai wah unki naz-bardari mein hum Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now