Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

masti-e-do-alam ek markaz pe simaT aai

Mahir Bilgrami

masti-e-do-alam ek markaz pe simaT aai

Mahir Bilgrami

MORE BYMahir Bilgrami

    mastī-e-do-ālam ik markaz pe simaT aa.ī

    so kar vo uThā kuchh yuuñ letā huā añgḌā.ī

    pur-shauq nazar merī kuchh dekh ke lalchā.ī

    kuchh us ke ishāroñ se vo hausla-afzā.ī

    yak-laḳht hue ruḳhsat sab sabr-o-shakebā.ī

    taḌpā ga.ī jab aa.ī us samt se purvā.ī

    kyā us asar us par majma.a ho ki tanhā.ī

    dīvāna to dīvāna saudā.ī to saudā.ī

    parvāna hai dīvāna lau sham' tharrā.ī

    kyā rañg-e-vafā laa.ī ik pal shanāsā.ī

    farhād gahe majnūñ ban kar yahāñ jab aa.e

    rūdād-e-junūñ ham ne har martaba dohrā.ī

    merī badaulat vo mash.hūr-e-do-ālam haiñ

    rusvā.ī-e-ulfat ye un ke baḌe kaam aa.ī

    pursān-e-alam hote rasman kabhī sāhab

    zahmat na ga.ī itnī bhī aap se farmā.ī

    ai bād-e-sabā kar un se ye kah de

    dīdār ḳhvāhāñ huuñ milne tamannā.ī

    maiñ chup huuñ magar kahiye kyā haal hai ye āḳhir

    māthe pe pasīnā hai āvāz hai bharā.ī

    bīmār-e-mohabbat bas ab hai ḳhudā-hāfiz

    kaam aa.ī masīhā kuchh bhī na masīhā.ī

    kyā vo bhī zamāna thā me.arāj-e-mohabbat

    din-rāt dar-e-jānāñ par nāsiya-farsā.ī

    chāhe jise de zillat chāhe jise de 'izzat

    raa.ī ko kare parbat parbat ko kare raa.ī

    bas yūñhī samjhe ab hāl-e-dil-e-afsurda

    chingārī dahaktī ik jis tarah ho kajlā.ī

    bāzār-e-nigārāñ manzar vo are tauba

    sāñche meñ Dhalī har shai ik paikar-e-rānā.ī

    gardūñ pe mah-e-nau phir dikhlā.ī diyā 'māhir'

    phir īd-e-mubārak har-sū se sadā aa.ī

    masti-e-do-alam ek markaz pe simaT aai

    so kar wo uTha kuchh yun leta hua angDai

    pur-shauq nazar meri kuchh dekh ke lalchai

    kuchh us ke ishaaron se wo hausla-afzai

    yak-laKHt hue ruKHsat sab sabr-o-shakebai

    taDpa gai jab aai us samt se purwai

    kya us ka asar us par majma ho ki tanhai

    diwana to diwana saudai to saudai

    parwana hai diwana lau sham' ki tharrai

    kya rang-e-wafa lai ek pal ki shanasai

    farhad gahe majnun ban kar yahan jab aae

    rudad-e-junun hum ne har martaba dohrai

    meri hi badaulat wo mashhur-e-do-alam hain

    ruswai-e-ulfat ye un ke baDe kaam aai

    pursan-e-alam hote rasman hi kabhi sahab

    zahmat na gai itni bhi aap se farmai

    ai baad-e-saba ja kar un se tu hi ye kah de

    didar ka KHwahan hun milne ka tamannai

    main chup hun magar kahiye kya haal hai ye aaKHir

    mathe pe pasina hai aawaz hai bharai

    bimar-e-mohabbat ka bas ab hai KHuda-hafiz

    kaam aai masiha ki kuchh bhi na masihai

    kya wo bhi zamana tha mearaj-e-mohabbat ka

    din-raat dar-e-jaanan par nasiya-farsai

    chahe jise de zillat chahe jise de 'izzat

    rai ko kare parbat parbat ko kare rai

    bas yunhi samjhe ab haal-e-dil-e-afsurda

    chingari dahakti ek jis tarah ho kajlai

    bazar-e-nigaran ka manzar wo are tauba

    sanche mein Dhali har shai ek paikar-e-ranai

    gardun pe mah-e-nau phir dikhlai diya 'mahir'

    phir id-e-mubarak ki har-su se sada aai

    Source:

    Saamaan-e-Sar-Khushi (Pg. 231)

    • Author: Mahir Bilgrami
      • Edition: 1988
      • Publisher: Bilgrami Publication, Lakhnow
      • Year of Publication: 1988
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now