Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

matla ghazal ka ghair zaruri kya kyun kab ka hissa hai

Idris Babar

matla ghazal ka ghair zaruri kya kyun kab ka hissa hai

Idris Babar

MORE BYIdris Babar

    matl.a ġhazal ġhair zarūrī kyā kyuuñ kab hissa hai

    zindagī chokleT cake hai thoḌā thoḌā sab hissa hai

    ab jo bar meñ tanhā piitā huuñ coffē ke naam pe zahr

    us talḳh shīrīnī meñ us ke lab hissa hai

    lok kahāniyoñ meñ mā-ba.ad-e-jadīd pesh-āmad jaise

    fiction re-cell value meñ maz.hab hissa hai

    ke-pī-ke afghanistan hai aur balochistan īrān

    sindh hai chiin meñ aur pyārā punjab arab hissa hai

    sohnī sohne se pahle haq hai ghaḌe par paanī

    kab se ghaḌī meñ jab aur tab se zyāda ab hissa hai

    maanā hijr raat hai ye par kitnī ḳhushī baat hai ye

    ġham rim-rim-jhim hamdam bazm-e-tarab hissa hai

    cab chalāne vaale daajī tab chalāne vaalā saajī

    vo jo adab hissa the to ye bhī adab hissa hai

    tai huā nazm mustaqbil hai pān-sau bil hai bha.ī pyāro

    aañkh na maaro ġhazal hamāre hasab-nasab hissa hai

    ik din jab būḌhe painter ke paas sharāb ke paise nahīñ the

    chhat par ye ghanghor ghaTā tab se is pub hissa hai

    sex jo pahle sāḳhtiyātī roz-o-shab hissa thī

    ab māba.ad-e-sāḳhtiyātī roz-o-shab hissa hai

    qāfiya bahr radīf vaġhaira jaise harīf zarīf vaġhaira

    in ko ThanDā soDa pilāo bhaa.ī ye kab qissa hai

    matla ghazal ka ghair zaruri kya kyun kab ka hissa hai

    zindagi chokleT cake hai thoDa thoDa sab ka hissa hai

    ab jo bar mein tanha pita hun coffee ke nam pe zahr

    us ki talKH si shirini mein us ke lab ka hissa hai

    lok kahaniyon mein ma-baad-e-jadid ki pesh-amad jaise

    fiction ki re-cell walue mein mazhab ka hissa hai

    ke-pi-ke afghanistan hai aur balochistan iran

    sindh hai chin mein aur pyara punjab arab ka hissa hai

    sohni ya sohne se pahle haq hai ghaDe par pani ka

    kab se ghaDi mein jab aur tab se zyaada ab ka hissa hai

    mana hijr ki raat hai ye par kitni KHushi ki baat hai ye

    gham ki rim-rim-jhim ki hamdam bazm-e-tarab ka hissa hai

    cab chalane wale daji tab chalane wala saji

    wo jo adab ka hissa the to ye bhi adab ka hissa hai

    tai hua nazm hi mustaqbil hai pan-sau bil hai bhai pyaro

    aankh na maro ghazal hamare hasab-nasab ka hissa hai

    ek din jab buDhe painter ke pas sharab ke paise nahin the

    chhat par ye ghanghor ghaTa tab se is pub ka hissa hai

    sex jo pahle saKHtiyati roz-o-shab ka hissa thi

    ab mabaad-e-saKHtiyati roz-o-shab ka hissa hai

    qafiya bahr radif waghaira jaise harif zarif waghaira

    in ko ThanDa soDa pilao bhai ye kab ka qissa hai

    Source:

    Ziina Ziina Rakh (Pg. word file)

    • Author: Ghayas Mateen
      • Edition: 1980
      • Publisher: Hyderabad Literary Form
      • Year of Publication: 1980
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now