Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mausam bhi KHush-gawar zamana bhi ras hai

Shevan Bijnauri

mausam bhi KHush-gawar zamana bhi ras hai

Shevan Bijnauri

MORE BYShevan Bijnauri

    mausam bhī ḳhush-gavār zamāna bhī raas hai

    lekin tire baġhair mirā udaas hai

    ai husn-e-pur-hijāb zarā sāmne to aa

    in tishna-lab nigāhoñ ko jalve aas hai

    arsa huā hai tark-e-mohabbat kiye hue

    phir bhī na jaane kyuuñ tere milne aas hai

    kahte haiñ kis ko ishq mujhe ye ḳhabar nahīñ

    ik mīThā mīThā dard mere dil ke paas hai

    yuuñ to bahut haiñ duniyā meñ zī-rūh hastiyāñ

    bas aadmī vahī hai ki jo ġham-shanās hai

    bas aap naam hai vird-e-zabāñ huzūr

    ye saarī zindagī merī iqtibās hai

    'shevan' ye iztirāb-e-mohabbat hai karam

    dil kyā udaas saarā zamāna udaas hai

    mausam bhi KHush-gawar zamana bhi ras hai

    lekin tere baghair mera ji udas hai

    ai husn-e-pur-hijab zara samne to aa

    in tishna-lab nigahon ko jalwe ki aas hai

    arsa hua hai tark-e-mohabbat kiye hue

    phir bhi na jaane kyun tere milne ki aas hai

    kahte hain kis ko ishq mujhe ye KHabar nahin

    ek miTha miTha dard mere dil ke pas hai

    yun to bahut hain duniya mein zi-ruh hastiyan

    bas aadmi wahi hai ki jo gham-shanas hai

    bas aap ka hi nam hai wird-e-zaban huzur

    ye sari zindagi ka meri iqtibas hai

    'shewan' ye iztirab-e-mohabbat ka hai karam

    dil kya udas sara zamana udas hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now