Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mausam-e-gul hai tere surKH dahan ki had tak

Imran-ul-haq Chauhan

mausam-e-gul hai tere surKH dahan ki had tak

Imran-ul-haq Chauhan

MORE BYImran-ul-haq Chauhan

    mausam-e-gul hai tire surḳh dahan had tak

    mire zaḳhmoñ se ārāsta tan had tak

    vaqt har zaḳhm ko bhar detā hai kuchh bhī kiije

    yaad rah jaatī hai halkī chubhan had tak

    na kisī gul se ta.alluq na kisī ḳhaar se bair

    rabt gulzār se hai bū-e-saman had tak

    vo mujhe bhuul nahīñ paayā abhī tak ya.anī

    maiñ use yaad huuñ māthe shikan had tak

    baat ik aur pas-e-parda-e-alfāz bhī thī

    us ne ḳhat merā paḌhā lutf-e-suḳhan had tak

    mahr-o-mahtāb ḳhvāhish se mujhe kyā lenā

    mutma.in dil hai jab ik sīm-badan had tak

    ye jo kahnā hai ki har husn jafā-pesha hai

    ek tohmat hai mire rashk-e-adn had tak

    mausam-e-gul hai tere surKH dahan ki had tak

    ya mere zaKHmon se aarasta tan ki had tak

    waqt har zaKHm ko bhar deta hai kuchh bhi kije

    yaad rah jati hai halki si chubhan ki had tak

    na kisi gul se talluq na kisi KHar se bair

    rabt gulzar se hai bu-e-saman ki had tak

    wo mujhe bhul nahin paya abhi tak yani

    main use yaad hun mathe ki shikan ki had tak

    baat ek aur pas-e-parda-e-alfaz bhi thi

    us ne KHat mera paDha lutf-e-suKHan ki had tak

    mahr-o-mahtab ki KHwahish se mujhe kya lena

    mutmain dil hai jab ek sim-badan ki had tak

    ye jo kahna hai ki har husn jafa-pesha hai

    ek tohmat hai mere rashk-e-adn ki had tak

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now