aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

maza tha hum ko jo laila se du-ba-du karte

Shaikh Ibrahim Zauq

maza tha hum ko jo laila se du-ba-du karte

Shaikh Ibrahim Zauq

MORE BYShaikh Ibrahim Zauq

    maza thā ham ko jo lailā se dū-ba-dū karte

    ki gul tumhārī bahāroñ meñ aarzū karte

    would be a joy if you were there face to face with me

    then flowers would, in springtime, seek you longingly

    maze jo maut ke āshiq bayāñ kabhū karte

    masīh o ḳhizr bhī marne aarzū karte

    if the joys of death in love, paramours narrate

    Jesus and Khizr too will for death eagerly wait

    ġharaz thī kyā tire tīroñ ko āb-e-paikāñ se

    magar ziyārat-e-dil kyuuñ ki be-vuzū karte

    lustre from the arrow's gleam your glances did not need

    but how could they enter my heart 'til they were cleansed indeed

    ajab na thā ki zamāne ke inqilāb se ham

    tayammum aab se aur ḳhaak se vuzū karte

    the tumult of this world's affairs, how could I escape

    with sand ablution I perform, my hands with water scrape

    agar ye jānte chun chun ke ham ko toḌeñge

    to gul kabhī na tamannā-e-rañg-o-bū karte

    if they had ever known they would, one by one, be rent

    flowers would have never wished for colour or for scent

    samajh ye dār-o-rasan tār-o-sozan ai mansūr

    ki chāk-e-parda haqīqat haiñ rafū karte

    mansuur, think the scaffold, noose, as needle,thread forsooth

    there to darn the tear within the veil of eternal truth

    yaqīñ hai sub.h-e-qayāmat ko bhī subūhī-kash

    uTheñge ḳhvāb se saaqī subū subū karte

    I am sure carousers would,on morn of judgement day

    rouse from dreams crying out more! more wine for me I say

    na rahtī yūsuf-e-kan.āñ garmī-e-bāzār

    muqāble meñ jo ham tujh ko rū-ba-rū karte

    in a bidding war for Yuusuf fervor wouldn't be there

    if I had put you next to him for buyers to compare

    chaman bhī dekhte gulzār-e-ārzū bahār

    tumhārī bād-e-bahārī meñ aarzū karte

    the bloom of my desire's grove if gardens ever view

    in springtime's breeze they all would, start to yearn for you

    surāġh umr-e-guzishta kījiye gar 'zauq'

    tamām umr guzar jaa.e justujū karte

    zauq if one did search for clues of times that went before

    all one's life would be spent seeking them once more

    maza tha hum ko jo laila se du-ba-du karte

    ki gul tumhaari bahaaron mein aarzu karte

    would be a joy if you were there face to face with me

    then flowers would, in springtime, seek you longingly

    maze jo maut ke aashiq bayan kabhu karte

    masih o KHizr bhi marne ki aarzu karte

    if the joys of death in love, paramours narrate

    Jesus and Khizr too will for death eagerly wait

    gharaz thi kya tere tiron ko aab-e-paikan se

    magar ziyarat-e-dil kyun ki be-wuzu karte

    lustre from the arrow's gleam your glances did not need

    but how could they enter my heart 'til they were cleansed indeed

    ajab na tha ki zamane ke inqilab se hum

    tayammum aab se aur KHak se wuzu karte

    the tumult of this world's affairs, how could I escape

    with sand ablution I perform, my hands with water scrape

    agar ye jaante chun chun ke hum ko toDenge

    to gul kabhi na tamanna-e-rang-o-bu karte

    if they had ever known they would, one by one, be rent

    flowers would have never wished for colour or for scent

    samajh ye dar-o-rasan tar-o-sozan ai mansur

    ki chaak-e-parda haqiqat ka hain rafu karte

    mansuur, think the scaffold, noose, as needle,thread forsooth

    there to darn the tear within the veil of eternal truth

    yaqin hai subh-e-qayamat ko bhi subuhi-kash

    uThenge KHwab se saqi subu subu karte

    I am sure carousers would,on morn of judgement day

    rouse from dreams crying out more! more wine for me I say

    na rahti yusuf-e-kanan ki garmi-e-bazar

    muqable mein jo hum tujh ko ru-ba-ru karte

    in a bidding war for Yuusuf fervor wouldn't be there

    if I had put you next to him for buyers to compare

    chaman bhi dekhte gulzar-e-arzu ki bahaar

    tumhaari baad-e-bahaari mein aarzu karte

    the bloom of my desire's grove if gardens ever view

    in springtime's breeze they all would, start to yearn for you

    suragh umr-e-guzishta ka kijiye gar 'zauq'

    tamam umr guzar jae justuju karte

    zauq if one did search for clues of times that went before

    all one's life would be spent seeking them once more

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now