Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mazid ek bar par bar-e-giran rakkha gaya hai

Ameer Imam

mazid ek bar par bar-e-giran rakkha gaya hai

Ameer Imam

MORE BYAmeer Imam

    mazīd ik baar par bār-e-girāñ rakkhā gayā hai

    zamīñ jo tere upar āsmāñ rakkhā gayā hai

    kabhī chīḳh kar āvāz de to jaan jā.ūñ

    mire zindān meñ tujh ko kahāñ rakkhā gayā hai

    mirī nīñdoñ meñ rahtī hai sadā tishna-dahānī

    mire ḳhvāboñ meñ ik dariyā ravāñ rakkhā gayā hai

    havā ke saath phūloñ se nikalne sazā meñ

    bhaTaktī ḳhushbuoñ ko be-amāñ rakkhā gayā hai

    magar ye dil bahaltā nahīñ go is ke aage

    tumhāre baa'd ye saarā jahāñ rakkhā gayā hai

    mazid ek bar par bar-e-giran rakkha gaya hai

    zamin jo tere upar aasman rakkha gaya hai

    kabhi tu chiKH kar aawaz de to jaan jaun

    mere zindan mein tujh ko kahan rakkha gaya hai

    meri nindon mein rahti hai sada tishna-dahani

    mere KHwabon mein ek dariya rawan rakkha gaya hai

    hawa ke sath phulon se nikalne ki saza mein

    bhaTakti KHushbuon ko be-aman rakkha gaya hai

    magar ye dil bahalta hi nahin go is ke aage

    tumhaare ba'd ye sara jahan rakkha gaya hai

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Ameer Imam

    Ameer Imam

    RECITATIONS

    Ameer Imam

    Ameer Imam,

    Ameer Imam

    mazid ek bar par bar-e-giran rakkha gaya hai Ameer Imam

    Source:

    NAQSH-E-PA HAWAON KE (Pg. 51)

      • Edition: 2013
      • Year of Publication: 2013
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now