Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mearaj-e-irtiqa hai tamasha na jaaniye

Sultan Akhtar

mearaj-e-irtiqa hai tamasha na jaaniye

Sultan Akhtar

MORE BYSultan Akhtar

    me.arāj-e-irtiqā hai tamāshā na jāniye

    tahzīb-e-asr-e-nau ko barahna na jāniye

    ubhrā bahut pe lauh-e-samā.at se duur duur

    harf-e-sadā ko ab ke kahīñ na jāniye

    hone ko is safar meñ bahut rā.egāñ hue

    lekin hameñ shikast nauha na jāniye

    bas apnī hā-o-hū se raunaq hai chār-sū

    vīrāniyoñ ko zīnat-e-sahrā na jāniye

    tūfāñ naam sun ke laraztī to hai magar

    dīvār-e-jism-o-jāñ ko shikasta na jāniye

    mearaj-e-irtiqa hai tamasha na jaaniye

    tahzib-e-asr-e-nau ko barahna na jaaniye

    ubhra bahut pe lauh-e-samaat se dur dur

    harf-e-sada ko ab ke kahin ka na jaaniye

    hone ko is safar mein bahut raegan hue

    lekin hamein shikast ka nauha na jaaniye

    bas apni ha-o-hu se hi raunaq hai chaar-su

    viraniyon ko zinat-e-sahra na jaaniye

    tufan ka nam sun ke larazti to hai magar

    diwar-e-jism-o-jaan ko shikasta na jaaniye

    Source:

    Bihar Mein Jadeed Ghazal (Pg. 48)

      • Publisher: Ataullah Khan Alwi
      • Year of Publication: 1955
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now