Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mere andar wo mere siwa kaun tha

Zafar Iqbal

mere andar wo mere siwa kaun tha

Zafar Iqbal

MORE BYZafar Iqbal

    mere andar vo mere sivā kaun thā

    maiñ to thā magar dūsrā kaun thā

    log bhī kuchh ta.āruf karāte rahe

    mujh ko pahle mālūm thā kaun thā

    log andāze sab lagāte rahe

    vo jabīñ kis thī naqsh-e-pā kaun thā

    mujh se mil kar andāza hogā koī

    vo alag kaun thā vo judā kaun thā

    koī jis par na thā mausamoñ asar

    baad sāvan ke bhī vo harā kaun thā

    jis ko ahvāl saarā thā mālūm vo

    be-ḳhabar rāste meñ paḌā kaun thā

    muntazir jis duniyā rahī der tak

    duur se koī aatā huā kaun thā

    aa.ī jis mahak us se pahle kahīñ

    vo savār-e-kamand-e-havā kaun thā

    reza reza pahchān meñ thā 'zafar'

    jānte the sabhī jā-ba-jā kaun thā

    mere andar wo mere siwa kaun tha

    main to tha hi magar dusra kaun tha

    log bhi kuchh taaruf karaate rahe

    mujh ko pahle hi malum tha kaun tha

    log andaze hi sab lagate rahe

    wo jabin kis ki thi naqsh-e-pa kaun tha

    mujh se mil kar hi andaza hoga koi

    wo alag kaun tha wo juda kaun tha

    koi jis par na tha mausamon ka asar

    baad sawan ke bhi wo hara kaun tha

    jis ko ahwal sara tha malum wo

    be-KHabar raste mein paDa kaun tha

    muntazir jis ki duniya rahi der tak

    dur se koi aata hua kaun tha

    aai jis ki mahak us se pahle kahin

    wo sawar-e-kamand-e-hawa kaun tha

    reza reza hi pahchan mein tha 'zafar'

    jaante the sabhi ja-ba-ja kaun tha

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now