Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mere ashkon ne kai aankhon mein jal-thal kar diya

Rahat Indori

mere ashkon ne kai aankhon mein jal-thal kar diya

Rahat Indori

MORE BYRahat Indori

    mere ashkoñ ne ka.ī āñkhoñ meñ jal-thal kar diyā

    ek pāgal ne bahut logoñ ko pāgal kar diyā

    apnī palkoñ par sajā kar mere aañsū aap ne

    rāste dhuul ko āñkhoñ kājal kar diyā

    maiñ ne dil de kar use thī vafā ibtidā

    us ne dhoka de ke ye qissa mukammal kar diyā

    ye havā.eñ kab nigāheñ pher leñ kis ko ḳhabar

    shohratoñ taḳht jab TuuTā to paidal kar diyā

    devtāoñ aur ḳhudāoñ lagā.ī aag ne

    dekhte dekhte bastī ko jañgal kar diyā

    zaḳhm sūrat nazar aate haiñ chehroñ ke nuqūsh

    ham ne ā.īnoñ ko tahzīboñ maqtal kar diyā

    shahr meñ charchā hai āḳhir aisī laḌkī kaun hai

    jis ne achchhe-ḳhāse ik shā.ir ko pāgal kar diyā

    mere ashkon ne kai aankhon mein jal-thal kar diya

    ek pagal ne bahut logon ko pagal kar diya

    apni palkon par saja kar mere aansu aap ne

    raste ki dhul ko aankhon ka kajal kar diya

    main ne dil de kar use ki thi wafa ki ibtida

    us ne dhoka de ke ye qissa mukammal kar diya

    ye hawaen kab nigahen pher len kis ko KHabar

    shohraton ka taKHt jab TuTa to paidal kar diya

    dewtaon aur KHudaon ki lagai aag ne

    dekhte hi dekhte basti ko jangal kar diya

    zaKHm ki surat nazar aate hain chehron ke nuqush

    hum ne aainon ko tahzibon ka maqtal kar diya

    shahr mein charcha hai aaKHir aisi laDki kaun hai

    jis ne achchhe-KHase ek shair ko pagal kar diya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now