Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mere KHwabon ko nigalne ka irada na kare

Aalam Nizami

mere KHwabon ko nigalne ka irada na kare

Aalam Nizami

MORE BYAalam Nizami

    mere ḳhvāboñ ko nigalne irāda na kare

    kah do sūraj se nikalne irāda na kare

    us se baḌh kar koī muhtāj nahīñ ho saktā

    gir ke jo shaḳhs sañbhalne irāda na kare

    jo havāoñ ke mizājoñ se nahīñ hai vāqif

    mere hamrāh vo chalne irāda na kare

    guftugū zahr-bharī sun le jo insānoñ

    saañp bhī zahr ugalne irāda na kare

    apnī qismat meñ hai manzil to ḳhud aa jā.egī

    ab junūñ raah badalne irāda na kare

    niyyateñ saaf ghaTāoñ nahīñ haiñ 'ālam'

    chāñd se kah do nikalne irāda na kare

    mere KHwabon ko nigalne ka irada na kare

    kah do suraj se nikalne ka irada na kare

    us se baDh kar koi muhtaj nahin ho sakta

    gir ke jo shaKHs sanbhalne ka irada na kare

    jo hawaon ke mizajon se nahin hai waqif

    mere hamrah wo chalne ka irada na kare

    guftugu zahr-bhari sun le jo insanon ki

    sanp bhi zahr ugalne ka irada na kare

    apni qismat mein hai manzil to KHud aa jaegi

    ab junun rah badalne ka irada na kare

    niyyaten saf ghaTaon ki nahin hain 'alam'

    chand se kah do nikalne ka irada na kare

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now