aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mere samne mere ghar ka pura naqsha bikhra hai

Hakeem Manzoor

mere samne mere ghar ka pura naqsha bikhra hai

Hakeem Manzoor

MORE BYHakeem Manzoor

    mere sāmne mere ghar puurā naqsha bikhrā hai

    kaash koī aisā hotā jo dekhe kyā kyā bikhrā hai

    maiñ ne chāhā biite barsoñ ko bhī muTThī meñ bhar luuñ

    is koshish meñ mere aaj lamha lamha bikhrā hai

    pahle us ke saa.e ke rasiyā log the ab ye kahte haiñ

    ye bhī koī peḌ hai jis pattā pattā bikhrā hai

    shāyad aise be-manzil rahnā apnī qismat hai

    ham kis raste ko apnā.eñ har ik rasta bikhrā hai

    is kyā ta.abīr karūñ maiñ kuchh samjhā 'manzūr'

    maiñ ne ḳhvāb meñ dekhā sahrā meñ ik dariyā bikhrā hai

    mere samne mere ghar ka pura naqsha bikhra hai

    kash koi aisa hota jo dekhe kya kya bikhra hai

    main ne chaha bite barson ko bhi muTThi mein bhar lun

    is koshish mein mere aaj ka lamha lamha bikhra hai

    pahle us ke sae ke rasiya log the ab ye kahte hain

    ye bhi koi peD hai jis ka patta patta bikhra hai

    shayad aise hi be-manzil rahna apni qismat hai

    hum kis raste ko apnaen har ek rasta bikhra hai

    is ki kya tabir karun main kuchh tu hi samjha 'manzur'

    main ne KHwab mein dekha sahra mein ek dariya bikhra hai

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 379)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now