meri bhi duniya hai us par pahaDon ke par
merī bhī duniyā hai us paar pahāḌoñ ke paar
tū kabhī saath to chal yaar pahāḌoñ ke paar
tum mire saath chalo to maiñ dikhā.ūñ tum ko
chāñd dikhtā hai chamakdār pahāḌoñ ke paar
log dīvār batāte haiñ use nafrat kī
qais to kahtā thā hai pyaar pahāḌoñ ke paar
us kī āvāz bulātī hai mujhe aane ko
bas chale jaanā hai is baar pahāḌoñ ke paar
jordan qais ho farhād yā phir ho 'sāgar'
sab mileñge ye talabgār pahāḌoñ ke paar
meri bhi duniya hai us par pahaDon ke par
tu kabhi sath to chal yar pahaDon ke par
tum mere sath chalo to main dikhaun tum ko
chand dikhta hai chamakdar pahaDon ke par
log diwar batate hain use nafrat ki
qais to kahta tha hai pyar pahaDon ke par
us ki aawaz bulati hai mujhe aane ko
bas chale jaana hai is bar pahaDon ke par
jordan qais ho farhad ya phir ho 'sagar'
sab milenge ye talabgar pahaDon ke par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.