Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

agar rah mein uski rakha hai gam

Meer Taqi Meer

agar rah mein uski rakha hai gam

Meer Taqi Meer

MORE BYMeer Taqi Meer

    agar raah meñ us rakhā hai gaam

    ga.e guzre ḳhizar alaihis-salām

    dahan yaar dekh chup lag ga.ī

    suḳhan yaañ huā ḳhatm hāsil-kalām

    mujhe dekh muñh par pareshāñ zulf

    ġharaz ye ki huī ab to shaam

    sar-e-shām se rahtī haiñ kāhisheñ

    hameñ shauq us maah hai tamām

    qayāmat yaañ chashm-o-dil se rahī

    chale bas to vaañ ke kariye qayām

    na dekhe jahāñ koī āñkhoñ aur

    na leve koī jis jagah dil naam

    jahāñ 'mīr' zer-o-zabar ho gayā

    ḳhirāmāñ huā thā vo mahshar-ḳhirām

    agar rah mein us ki rakha hai gam

    gae guzre KHizar alaihis-salam

    dahan yar ka dekh chup lag gai

    suKHan yan hua KHatm hasil-kalam

    mujhe dekh munh par pareshan ki zulf

    gharaz ye ki ja tu hui ab to sham

    sar-e-sham se rahti hain kahishen

    hamein shauq us mah ka hai tamam

    qayamat hi yan chashm-o-dil se rahi

    chale bas to wan ja ke kariye qayam

    na dekhe jahan koi aankhon ki aur

    na lewe koi jis jagah dil ka nam

    jahan 'mir' zer-o-zabar ho gaya

    KHiraman hua tha wo mahshar-KHiram

    Source:

    MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0281

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now