Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mera sina hai mashriq aaftab-e-dagh-e-hijran ka

Imam Bakhsh Nasikh

mera sina hai mashriq aaftab-e-dagh-e-hijran ka

Imam Bakhsh Nasikh

MORE BYImam Bakhsh Nasikh

    mirā siina hai mashriq āftāb-e-dāġh-e-hijrāñ

    tulū-e-sub.h-e-mahshar chaak hai mere garebāñ

    azal se dushmanī tā.ūs o maar aapas meñ rakhte haiñ

    dil-e-pur-dāġh ko kyūñkar hai ishq us zulf-e-pechāñ

    kisī ḳhurshīd-rū ko jazb-e-dil ne aaj khīñchā hai

    ki nūr-e-sub.h-e-sādiq hai ġhubār apne bayābāñ

    chamaknā barq lāzim paḌā hai abr-e-bārāñ meñ

    tasavvur chāhiye rone meñ us ke rū-e-ḳhandāñ

    diyā mere janāze ko jo kāñdhā us parī-rū ne

    gumāñ hai taḳhta-e-tābūt par taḳht-e-sulaimāñ

    kisī se dil na is vahshat-sarā meñ maiñ ne aTkāyā

    na uljhā ḳhaar se dāman kabhī mere bayābāñ

    tah-e-shamshīr-e-qātil kis qadar bashshāsh thā 'nāsiḳh'

    ki aalam har dahān-e-zaḳhm par hai rū-e-ḳhandāñ

    mera sina hai mashriq aaftab-e-dagh-e-hijran ka

    tulu-e-subh-e-mahshar chaak hai mere gareban ka

    azal se dushmani taus o mar aapas mein rakhte hain

    dil-e-pur-dagh ko kyunkar hai ishq us zulf-e-pechan ka

    kisi KHurshid-ru ko jazb-e-dil ne aaj khincha hai

    ki nur-e-subh-e-sadiq hai ghubar apne bayaban ka

    chamakna barq ka lazim paDa hai abr-e-baran mein

    tasawwur chahiye rone mein us ke ru-e-KHandan ka

    diya mere janaze ko jo kandha us pari-ru ne

    guman hai taKHta-e-tabut par taKHt-e-sulaiman ka

    kisi se dil na is wahshat-sara mein main ne aTkaya

    na uljha KHar se daman kabhi mere bayaban ka

    tah-e-shamshir-e-qatil kis qadar bashshash tha 'nasiKH'

    ki aalam har dahan-e-zaKHm par hai ru-e-KHandan ka

    Source:

    Intekhab-e-Zarrin Urdu Ghazal (Pg. 98)

    • Author: Khvaja Mohammad Zakriya
      • Edition: 2009
      • Publisher: Sangat Publishers
      • Year of Publication: 2009
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now