Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mere aage wo surat aa rahi hai

Vafa Barahi

mere aage wo surat aa rahi hai

Vafa Barahi

MORE BYVafa Barahi

    mire aage vo sūrat aa rahī hai

    nigāh-e-ārzū tharrā rahī hai

    sadā-e-zindagī ye aa rahī hai

    tamanna āzmā.ī rahī hai

    tavajjoh se suno tum naġhma-e-ishq

    hamārī aarzū kuchh rahī hai

    zarā sahrā-navardī kījiye phir

    hameñ vahshat yahī samjhā rahī hai

    ilāhī ho dil-e-betāb ḳhair

    kisī yaad phir taḌpā rahī hai

    baḌhā jaatā hai darmāñ se mirā dard

    sadā-e-dil ye paiham aa rahī hai

    ruḳh-e-rangīñ kisī hai nazar meñ

    bahār-e-zindagī itrā rahī hai

    mashiyyat naam hai tāqat shāyad

    abas ġhairat tirī sharmā rahī hai

    tasavvur aur phir lutf-e-tasavvur

    hameñ to niiñd is se aa rahī hai

    nigāh-e-nāz ko jumbish to phir do

    na jaane kyoñ adā ye bhā rahī hai

    hayāt-o-maut is kashmakash ko

    ajal bhī dekh kar ghabrā rahī hai

    sunā.ūñ dāstān-e-zindagī kyā

    musībat par musībat aa rahī hai

    sañbhal jaa.e tabī.at ġhair mumkin

    tamanna kyoñ ise bahlā rahī hai

    mubārak ho naved-e-marg tum ko

    hamārī be-kasī ye rahī hai

    havā-e-ranj tāsīr dekho

    masarrat kalī kumhlā rahī hai

    karūñ sair-e-bayābāñ ab 'vafā' maiñ

    mirī vahshat mujhe le rahī hai

    mere aage wo surat aa rahi hai

    nigah-e-arzu tharra rahi hai

    sada-e-zindagi ye aa rahi hai

    tamanna aazmai ja rahi hai

    tawajjoh se suno tum naghma-e-ishq

    hamari aarzu kuchh ga rahi hai

    zara sahra-nawardi kijiye phir

    hamein wahshat yahi samjha rahi hai

    ilahi ho dil-e-betab ki KHair

    kisi ki yaad phir taDpa rahi hai

    baDha jata hai darman se mera dard

    sada-e-dil ye paiham aa rahi hai

    ruKH-e-rangin kisi ka hai nazar mein

    bahaar-e-zindagi itra rahi hai

    mashiyyat nam hai taqat ka shayad

    abas ghairat teri sharma rahi hai

    tasawwur aur phir lutf-e-tasawwur

    hamein to nind is se aa rahi hai

    nigah-e-naz ko jumbish to phir do

    na jaane kyon ada ye bha rahi hai

    hayat-o-maut ki is kashmakash ko

    ajal bhi dekh kar ghabra rahi hai

    sunaun dastan-e-zindagi kya

    musibat par musibat aa rahi hai

    sanbhal jae tabiat ghair mumkin

    tamanna kyon ise bahla rahi hai

    mubarak ho nawed-e-marg tum ko

    hamari be-kasi ye ga rahi hai

    hawa-e-ranj ki tasir dekho

    masarrat ki kali kumhla rahi hai

    karun sair-e-bayaban ab 'wafa' main

    meri wahshat mujhe le ja rahi hai

    Source:

    Nikhat-e-Gul (Pg. 58)

    • Author: Vafa Barahi
      • Publisher: Pustak Bhandar, Patna
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now