Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mere andar rawani KHatm hoti ja rahi hai

Ahmad Khayal

mere andar rawani KHatm hoti ja rahi hai

Ahmad Khayal

MORE BYAhmad Khayal

    mire andar ravānī ḳhatm hotī rahī hai

    so lagtā hai kahānī ḳhatm hotī rahī hai

    use chhū kar laboñ se phuul jhaḌne lag ga.e haiñ

    mirī ātish-fishānī ḳhatm hotī rahī hai

    sulagte dasht meñ ab dhuup sahnā paḌ ga.ī hai

    tumhārī sā.ebānī ḳhatm hotī rahī hai

    hamārā dil zamāne se ulajhne lag gayā hai

    tumhārī hukmarānī ḳhatm hotī rahī hai

    samundar se simaT kar jhiil bante rahe haiñ

    hamārī be-karānī ḳhatm hotī rahī hai

    mere andar rawani KHatm hoti ja rahi hai

    so lagta hai kahani KHatm hoti ja rahi hai

    use chhu kar labon se phul jhaDne lag gae hain

    meri aatish-fishani KHatm hoti ja rahi hai

    sulagte dasht mein ab dhup sahna paD gai hai

    tumhaari saebani KHatm hoti ja rahi hai

    hamara dil zamane se ulajhne lag gaya hai

    tumhaari hukmarani KHatm hoti ja rahi hai

    samundar se simaT kar jhil bante ja rahe hain

    hamari be-karani KHatm hoti ja rahi hai

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now