aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mere danton ki umr ai aarzu mujhse bhi chhoTi thi

Shad Azimabadi

mere danton ki umr ai aarzu mujhse bhi chhoTi thi

Shad Azimabadi

MORE BYShad Azimabadi

    mire dāñtoñ umr ai aarzū mujh se bhī chhoTī thī

    usī ne saath chhoḌā dāñt-kāTī jin se roTī thī

    shikāyat aarzū be kiye nāseh nahīñ bantī

    ye sab dil-jūiyāñ zāhir thī bātin khoTī thī

    havā dar dar liye phirtī hai ab to merī miTTī ko

    ye hai vo ḳhaak jo ik din tire qadmoñ pe loTī thī

    bahut gahre na hoñ ochhe sahī charke to puure haiñ

    ḳhatā qātil kyā hai ik darā talvār chhoTī thī

    pahāḌ us par girā ai āsmāñ kyā bas chale varna

    hamāre āshiyāñ shāḳh sab shāḳhoñ se moTī thī

    balā kar ne ai hastī yahāñ ḳhuub mehmānī

    vahī karte haiñ faaqe jin ke dam se das roTī thī

    pahuñch jaatī thī us us ghar meñ jis jis ghar paasā thā

    jo sach pūchho to merī aarzū chausar goTī thī

    na kyuuñ kar terī yaktā.ī kalima naqsh ho dil par

    sabaq tarah barsoñ ye ibārat ham ne ghoTī thī

    mujhe ḳhush ḳhush jo paayā jal ke kyā jaldī huī ruḳhsat

    shab-e-vasl ai falak sab kuchh sahī niyyat chhoTī thī

    ye sach hai 'shād' kyā thā kuchh na thā lekin tumhārā thā

    na samjhā tum ne ai bārīk-bīno baat moTī thī

    mere danton ki umr ai aarzu mujh se bhi chhoTi thi

    usi ne sath chhoDa dant-kaTi jin se roTi thi

    shikayat aarzu ki be kiye naseh nahin banti

    ye sab dil-juiyan zahir ki thi baatin ki khoTi thi

    hawa dar dar liye phirti hai ab to meri miTTi ko

    ye hai wo KHak jo ek din tere qadmon pe loTi thi

    bahut gahre na hon ochhe sahi charke to pure hain

    KHata qatil ki kya hai ek dara talwar chhoTi thi

    pahaD us par gira ai aasman kya bas chale warna

    hamare aashiyan ki shaKH sab shaKHon se moTi thi

    bala kar tu ne ai hasti yahan ki KHub mehmani

    wahi karte hain faqe jin ke dam se das ki roTi thi

    pahunch jati thi us us ghar mein jis jis ghar ka pasa tha

    jo sach puchho to meri aarzu chausar ki goTi thi

    na kyun kar teri yaktai ka kalima naqsh ho dil par

    sabaq ki tarah barson ye ibarat hum ne ghoTi thi

    mujhe KHush KHush jo paya jal ke kya jaldi hui ruKHsat

    shab-e-wasl ai falak sab kuchh sahi niyyat ki chhoTi thi

    ye sach hai 'shad' kya tha kuchh na tha lekin tumhaara tha

    na samjha tum ne ai barik-bino baat moTi thi

    Source:

    Dewan-e-shad Azimabadi (Pg. 344)

    • Author: Shad Azimabadi
      • Edition: 2005
      • Publisher: Educational Publishing House
      • Year of Publication: 2005
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now