Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

meri sans ab chaara-gar TuTti hai

Nizam Rampuri

meri sans ab chaara-gar TuTti hai

Nizam Rampuri

MORE BYNizam Rampuri

    mirī saañs ab chārā-gar TūTtī hai

    kahīñ juḌtī hai phir kahīñ TūTtī hai

    ye ḳhū hai tumhārī to kyūñ-kar banegī

    udhar bantī hai to idhar TūTtī hai

    na ham par hañso haal hotā hai ye

    musībat jo insān par TūTtī hai

    samajhtā huuñ kuchh maiñ bhī bāteñ tumhārī

    ye har ta.an kyā ġhair par TūTtī hai

    ḳhudā ke liye phir to aisā na kahnā

    mirī aas ai nāma-bar TūTtī hai

    yahāñ jis ke be-dekhe TūTtā hai

    vahāñ us har-dam nazar TūTtī hai

    ġhazab hāthā-pā.ī hai lutf hotā

    koī un chūḌī agar TūTtī hai

    adū bhī to ghar hai ai charḳh zālim

    jo aafat hai mere ghar TūTtī hai

    tirī baat kyā hai unvān qāsid

    tavaqqo.a hamārī magar TūTtī hai

    ye ġham hai to ronā bhī apnā yahī hai

    ye ronā hai to chashm-e-tar TūTtī hai

    ye kahnā 'nizām' ab to sone de mujh ko

    koī baiThe kab tak kamar TūTtī hai

    meri sans ab chaara-gar TuTti hai

    kahin juDti hai phir kahin TuTti hai

    ye KHu hai tumhaari to kyun-kar banegi

    udhar banti hai to idhar TuTti hai

    na hum par hanso haal hota hai ye hi

    musibat jo insan par TuTti hai

    samajhta hun kuchh main bhi baaten tumhaari

    ye har tan kya ghair par TuTti hai

    KHuda ke liye phir to aisa na kahna

    meri aas ai nama-bar TuTti hai

    yahan jis ke be-dekhe ji TuTta hai

    wahan us ki har-dam nazar TuTti hai

    ghazab hatha-pai ka hai lutf hota

    koi un ki chuDi agar TuTti hai

    adu ka bhi to ghar hai ai charKH zalim

    jo aafat hai mere hi ghar TuTti hai

    teri baat ka kya hai unwan qasid

    tawaqqoa hamari magar TuTti hai

    ye gham hai to rona bhi apna yahi hai

    ye rona hai to chashm-e-tar TuTti hai

    ye kahna 'nizam' ab to sone de mujh ko

    koi baiThe kab tak kamar TuTti hai

    Source:

    kulliyat-e-nizaam (Pg. 361)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now