Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

meri sahba-parasti morid-e-ilzam hai saqi

Ghulam Rabbani Taban

meri sahba-parasti morid-e-ilzam hai saqi

Ghulam Rabbani Taban

MORE BYGhulam Rabbani Taban

    mirī sahbā-parastī morid-e-ilzām hai saaqī

    ḳhirad vāloñ mahfil meñ junūñ badnām hai saaqī

    junūñ meñ aur ḳhirad meñ dar-haqīqat farq itnā hai

    vo zer-e-dar hai saaqī aur ye zer-e-dām hai saaqī

    sū-e-manzil baḌhe jaatā huuñ mai-ḳhāna ba mai-ḳhāna

    mazāq-e-justujū tishna-labī naam hai saaqī

    kabhī jo chaar qatre bhī salīqe se na paa.e

    vo rind-e-ḳhām hai saaqī vo nañg-e-jām hai saaqī

    nahīñ hai aaj bhī shā.ista-e-ādāb-e-mai-noshī

    vo ik rind-e-balā-kash jis 'tābāñ' naam hai saaqī

    meri sahba-parasti morid-e-ilzam hai saqi

    KHirad walon ki mahfil mein junun badnam hai saqi

    junun mein aur KHirad mein dar-haqiqat farq itna hai

    wo zer-e-dar hai saqi aur ye zer-e-dam hai saqi

    su-e-manzil baDhe jata hun mai-KHana ba mai-KHana

    mazaq-e-justuju tishna-labi ka nam hai saqi

    kabhi jo chaar qatre bhi saliqe se na pi pae

    wo rind-e-KHam hai saqi wo nang-e-jam hai saqi

    nahin hai aaj bhi shaista-e-adab-e-mai-noshi

    wo ek rind-e-bala-kash jis ka 'taban' nam hai saqi

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    meri sahba-parasti morid-e-ilzam hai saqi Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now