meri yaad mein tum na aansu bahana na ji ko jalana mujhe bhul jaana
mirī yaad meñ tum na aañsū bahāna na jī ko jalānā mujhe bhuul jaanā
samajhnā ki thā ek sapnā suhāna vo guzrā zamāna mujhe bhuul jaanā
judā merī manzil judā terī rāheñ mileñgī na ab terī merī nigāheñ
mujhe terī duniyā se hai duur jaanā na jī ko jalānā mujhe bhuul jaanā
ye ro ro ke kahtā hai TuuTā huā dil nahīñ huuñ maiñ terī mohabbat ke qābil
mirā naam tak apne lab pe na laanā na jī ko jalānā mujhe bhuul jaanā
meri yaad mein tum na aansu bahana na ji ko jalana mujhe bhul jaana
samajhna ki tha ek sapna suhana wo guzra zamana mujhe bhul jaana
juda meri manzil juda teri rahen milengi na ab teri meri nigahen
mujhe teri duniya se hai dur jaana na ji ko jalana mujhe bhul jaana
ye ro ro ke kahta hai TuTa hua dil nahin hun main teri mohabbat ke qabil
mera nam tak apne lab pe na lana na ji ko jalana mujhe bhul jaana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.