aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

meri zindagi ki tu zindagi so qarib se mera haal dekh

Priyamvada Ilhan

meri zindagi ki tu zindagi so qarib se mera haal dekh

Priyamvada Ilhan

MORE BYPriyamvada Ilhan

    mirī zindagī zindagī so qarīb se mirā haal dekh

    jo kabhī kisī se huā nahīñ vo kiyā hai maiñ ne kamāl dekh

    ye mohabbateñ bhī na.ī nahīñ na vo hasrateñ javāñ rahīñ

    hai umiid terī magar kahīñ so khile khile haiñ ye gaal dekh

    tujhe go na merā ḳhayāl hai nahīñ mujh ko koī malāl hai

    tire ishq meñ tirī chaah meñ maiñ banī huuñ kaisī misāl dekh

    hai ajab maqām pe zindagī jo milā sahī na milā sahī

    na kamāl meñ hai koī ḳhushī na sabab hai ġham zavāl dekh

    mirā haal go hai ḳharāb abhī na fikr kar mire haal

    ki ḳhizāñ meñ hai bahār mire haal meñ jamāl dekh

    nahīñ an-kahī koī baat hai na sabab koī jo aa sake

    magar kabhī kisī yaad se zarā jhāñk kar mirā haal dekh

    meri zindagi ki tu zindagi so qarib se mera haal dekh

    jo kabhi kisi se hua nahin wo kiya hai main ne kamal dekh

    ye mohabbaten bhi nai nahin na wo hasraten hi jawan rahin

    hai umid teri magar kahin so khile khile hain ye gal dekh

    tujhe go na mera KHayal hai nahin mujh ko koi malal hai

    tere ishq mein teri chah mein main bani hun kaisi misal dekh

    hai ajab maqam pe zindagi jo mila sahi na mila sahi

    na kamal mein hai koi KHushi na sabab hai gham ka zawal dekh

    mera haal go hai KHarab abhi tu na fikr kar mere haal ki

    ki KHizan mein bu hai bahaar ki mere haal mein tu jamal dekh

    nahin an-kahi koi baat hai na sabab koi jo tu aa sake

    tu magar kabhi kisi yaad se zara jhank kar mera haal dekh

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now