aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

misl-e-baad-e-saba tere kuche mein ai jaan-e-jaan aae hain

Athar Nafees

misl-e-baad-e-saba tere kuche mein ai jaan-e-jaan aae hain

Athar Nafees

MORE BYAthar Nafees

    misl-e-bād-e-sabā tere kūche meñ ai jān-e-jāñ aa.e haiñ

    chand saa.at raheñge chale jā.eñge sar-garāñ aa.e haiñ

    shām-e-āzurdagī ke satā.e hue choT khaa.e hue

    mehrbāñ ho ke mil ham bahut aaj nā-shādmāñ aa.e haiñ

    ishq karnā jo sīkhā to duniyā baratne fan aa gayā

    kārobār-e-junūñ aa gayā hai to kār-e-jahāñ aa.e haiñ

    zaḳhm khulne lage phir ubharne lagīñ dil mahrūmiyāñ

    yaad phir tere andāz-e-dildārī-e-jism-o-jāñ aa.e haiñ

    dāstān-e-shab-e-hijr un ko sunāne din ye nahīñ

    mahfil-e-ishq meñ aaj to vo kuchh mehrbāñ aa.e haiñ

    misl-e-baad-e-saba tere kuche mein ai jaan-e-jaan aae hain

    chand saat rahenge chale jaenge sar-garan aae hain

    sham-e-azurdagi ke satae hue choT khae hue

    mehrban ho ke mil hum bahut aaj na-shadman aae hain

    ishq karna jo sikha to duniya baratne ka fan aa gaya

    karobar-e-junun aa gaya hai to kar-e-jahan aae hain

    zaKHm khulne lage phir ubharne lagin dil ki mahrumiyan

    yaad phir tere andaz-e-dildari-e-jism-o-jaan aae hain

    dastan-e-shab-e-hijr un ko sunane ka din ye nahin

    mahfil-e-ishq mein aaj hi to wo kuchh mehrban aae hain

    Source:

    Funoon(Jadeed Ghazal Number: Volume-002) (Pg. 770)

      • Edition: 1969
      • Publisher: Ahmad Nadeem Qasmi
      • Year of Publication: 1969
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now