Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

misr se rit chali aati hai takrar ke sath

Idris Azad

misr se rit chali aati hai takrar ke sath

Idris Azad

MORE BYIdris Azad

    misr se riit chalī aatī hai takrār ke saath

    husn naam liyā jaatā hai bāzār ke saath

    kaun kāfir hai jo khelegā diyānat se yahāñ

    jab mirī jiit hai vābasta tirī haar ke saath

    ham tire shahr meñ bikne ke liye aa.e haiñ

    ham ko matlab hai faqat apne ḳharīdār ke saath

    ne dekhā nahīñ mo.ajiza-e-husn-e-lahn

    titliyāñ kaise kathak kartī haiñ malhār ke saath

    bāñdh rakkhā hai mujhe ishq zanjīr ke saath

    aur ḳhud sāmne hai husn talvār ke saath

    rahnumāoñ se kiyā jaa.e magar aisā sulūk

    jaisā bartāv kiyā jaatā hai ġhaddār ke saath

    ta.ana mat de mujhe mere gunāhoñ faqīh

    mo.āmla hai mirā sattār ke ġhaffār ke saath

    bol uThte haiñ dar-o-bām farishtoñ zabāñ

    jaane kyā ramz hai iktāre ik taar ke saath

    nā-ḳhudā.ī ye andāz adā hai ki bharam

    bāñdh kar pheñk diyā bahr meñ patvār ke saath

    aisī do-ātisha lazzat ki baqā jā.ūñ

    jām-e-kausar jo atā ho tire dīdār ke saath

    merā mahbūb suḳhanvar hai par aisā vaisā

    baat kartā hai ishāre meñ bhī me.aar ke saath

    sach kahe ke faqat sach ke sivā kuchh na kahe

    guftugū hai kabhī aap ne mai-ḳhvār ke saath

    ne dekhā nahīñ faqr 'āzād' ġhurūr

    baat karnī bhī baḌā kaam hai ḳhud.dār ke saath

    misr se rit chali aati hai takrar ke sath

    husn ka nam liya jata hai bazar ke sath

    kaun kafir hai jo khelega diyanat se yahan

    jab meri jit hai wabasta teri haar ke sath

    hum tere shahr mein bikne ke liye aae hain

    hum ko matlab hai faqat apne KHaridar ke sath

    tu ne dekha hi nahin moajiza-e-husn-e-lahn

    titliyan kaise kathak karti hain malhaar ke sath

    bandh rakkha hai mujhe ishq ki zanjir ke sath

    aur KHud samne hai husn ki talwar ke sath

    rahnumaon se kiya jae magar aisa suluk

    jaisa bartaw kiya jata hai ghaddar ke sath

    tana mat de tu mujhe mere gunahon ka faqih

    moamla hai mera sattar ke ghaffar ke sath

    bol uThte hain dar-o-baam farishton ki zaban

    jaane kya ramz hai iktare ki ek tar ke sath

    na-KHudai ka ye andaz ada hai ki bharam

    bandh kar phenk diya bahr mein patwar ke sath

    aisi do-atisha lazzat ki baqa pa jaun

    jam-e-kausar jo ata ho tere didar ke sath

    mera mahbub suKHanwar hai par aisa waisa

    baat karta hai ishaare mein bhi mear ke sath

    sach kahe pi ke faqat sach ke siwa kuchh na kahe

    guftugu ki hai kabhi aap ne mai-KHwar ke sath

    tu ne dekha hi nahin faqr ka 'azad' ghurur

    baat karni bhi baDa kaam hai KHuddar ke sath

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now