Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mohabbat ibtida hai har KHabar ki

Muneer Bhopali

mohabbat ibtida hai har KHabar ki

Muneer Bhopali

MORE BYMuneer Bhopali

    mohabbat ibtidā hai har ḳhabar

    mohabbat intihā hai har nazar

    mohabbat raushnī qalb-o-jigar

    mohabbat aabrū hai chashm-e-tar

    mohabbat ne farishtoñ ko jhukāyā

    mohabbat se baḌhī vaq.at bashar

    mohabbat zulmat-e-shab tamannā

    mohabbat aarzū nūr-e-sahar

    mohabbat partav-e-nūr-e-azal hai

    mohabbat raushnī hai har nazar

    mohabbat ik musalsal dard-e-sar hai

    mohabbat davā hai dard-e-sar

    mohabbat aa.ina hai lafz-e-kun

    mohabbat hai nazar ā.īna-gar

    'munīr' is dil ke parde meñ mohabbat

    tajallī hai ḳhudā-e-bahr-o-bar

    mohabbat ibtida hai har KHabar ki

    mohabbat intiha hai har nazar ki

    mohabbat raushni qalb-o-jigar ki

    mohabbat aabru hai chashm-e-tar ki

    mohabbat ne farishton ko jhukaya

    mohabbat se baDhi waqat bashar ki

    mohabbat zulmat-e-shab ki tamanna

    mohabbat aarzu nur-e-sahar ki

    mohabbat partaw-e-nur-e-azal hai

    mohabbat raushni hai har nazar ki

    mohabbat ek musalsal dard-e-sar hai

    mohabbat hi dawa hai dard-e-sar ki

    mohabbat aaina hai lafz-e-kun ka

    mohabbat hai nazar aaina-gar ki

    'munir' is dil ke parde mein mohabbat

    tajalli hai KHuda-e-bahr-o-bar ki

    Source:

    Deewan-e-Muneer (Pg. 79)

    • Author: Muneer Bhopali
      • Publisher: Madhya Pradesh Urdu Academy, Bhopal
      • Year of Publication: 1984
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now