Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mohabbat ka teri banda har ek ko ai sanam paya

Haidar Ali Aatish

mohabbat ka teri banda har ek ko ai sanam paya

Haidar Ali Aatish

MORE BYHaidar Ali Aatish

    mohabbat tirī banda har ik ko ai sanam paayā

    barābar gardan-e-shāh-o-gadā donoñ ko ḳham paayā

    ba-rañg-e-sham.a jis nai dil jalāyā terī duurī maiñ

    to us nai manzil-e-maqsūd ko zer-e-qadam paayā

    bajā karte haiñ āshiq tāq-e-abrū parastārī

    yahī mehrāb-e-dair-o-ka.aba meñ bhī ham ne ḳham paayā

    nishāna tīr-e-tohmat hai merā aḳhtar-e-tāle

    uThā.ūñ daaġh maiñ to āsmāñ samjhe diram paayā

    hazāroñ hasrateñ jāveñgī mere saath duniyā se

    sharār-o-barq se bhī arsa-e-hastī ko kam paayā

    sivā.e rañj kuchh hāsil nahīñ hai is ḳharābe maiñ

    ġhanīmat jaan jo ārām ne koī dam paayā

    nazar aayā tamāshā-e-jahāñ jab band kiiñ āñkheñ

    safā-e-qalb se pahlū meñ ham ne jām-e-jam paayā

    jalāyā aur maarā husn nairañg-sāzī ne

    kabhī barq-e-ġhazab us ko kabhī abr-e-karam paayā

    firāq-anjām kaam āġhāz-e-vaslat bilā shak hai

    bahut royā maiñ rūh-o-tan ko jab mushtāq ham paayā

    har ik jauhar meñ us naqsh-e-pā-e-raftagāñ samjhā

    dam-e-shamshīr-e-qātil jāda-e-rāh-e-adam paayā

    hamārā kāba-e-maqsūd terā tāq-e-abrū hai

    tirī chashm-e-siyah ko ham ne āhu-e-haram paayā

    huā hargiz na ḳhatt-e-shauq sāmāñ durust 'ātish'

    siyāhī ho ga.ī nāyāb agar ham ne qalam paayā

    mohabbat ka teri banda har ek ko ai sanam paya

    barabar gardan-e-shah-o-gada donon ko KHam paya

    ba-rang-e-shama jis nai dil jalaya teri duri main

    to us nai manzil-e-maqsud ko zer-e-qadam paya

    baja karte hain aashiq taq-e-abru ki parastari

    yahi mehrab-e-dair-o-kaba mein bhi hum ne KHam paya

    nishana tir-e-tohmat ka hai mera aKHtar-e-tale

    uThaun dagh main to aasman samjhe diram paya

    hazaron hasraten jawengi mere sath duniya se

    sharar-o-barq se bhi arsa-e-hasti ko kam paya

    siwae ranj kuchh hasil nahin hai is KHarabe main

    ghanimat jaan jo aaram tu ne koi dam paya

    nazar aaya tamasha-e-jahan jab band kin aankhen

    safa-e-qalb se pahlu mein hum ne jam-e-jam paya

    jalaya aur mara husn ki nairang-sazi ne

    kabhi barq-e-ghazab us ko kabhi abr-e-karam paya

    firaq-anjam kaam aaghaz-e-waslat ka bila shak hai

    bahut roya main ruh-o-tan ko jab mushtaq hum paya

    har ek jauhar mein us ka naqsh-e-pa-e-raftagan samjha

    dam-e-shamshir-e-qatil jada-e-rah-e-adam paya

    hamara kaba-e-maqsud tera taq-e-abru hai

    teri chashm-e-siyah ko hum ne aahu-e-haram paya

    hua hargiz na KHatt-e-shauq ka saman durust 'atish'

    siyahi ho gai nayab agar hum ne qalam paya

    Source:

    Kulliyat-e-Khwaja Haidar Ali Aatish (Pg. 3)

    • Author: Haidar Ali Aatish
      • Publisher: Munshi Nawal Kishor, Lucknow
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now