Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mohabbat KHabt hai ya waswasa hai

Rasa Chughtai

mohabbat KHabt hai ya waswasa hai

Rasa Chughtai

MORE BYRasa Chughtai

    mohabbat ḳhabt hai vasvasa hai

    magar apnī jagah ye vāqi.a hai

    jise ham vāhima samjhe hue haiñ

    vo saaya bhī tirī dīvār hai

    makāñ sargoshiyoñ se gūñjte haiñ

    añdherā rauzanoñ se jhāñktā hai

    dar o dīvār chup sādhe hue haiñ

    faqat ik ālam-e-hū boltā hai

    mirī āñkhoñ pe ainak dūsrī hai

    ki ye tasvīr ruḳh dūsrā hai

    sunā hai Dūbne vaale ne pahle

    kisī naam sāhil par likhā hai

    guzar kis huā hai jo abhī tak

    do-ālam ā.ina-bardār hai

    ye duniyā miT ga.ī hotī kabhī

    magar ik naam aisā aa gayā hai

    mohabbat hai 'rasā' merī ibādat

    ye merā dil mirā dast-e-duā hai

    mohabbat KHabt hai ya waswasa hai

    magar apni jagah ye waqia hai

    jise hum wahima samjhe hue hain

    wo saya bhi teri diwar ka hai

    makan sargoshiyon se gunjte hain

    andhera rauzanon se jhankta hai

    dar o diwar chup sadhe hue hain

    faqat ek aalam-e-hu bolta hai

    meri aankhon pe ainak dusri hai

    ki ye taswir ka ruKH dusra hai

    suna hai Dubne wale ne pahle

    kisi ka nam sahil par likha hai

    guzar kis ka hua hai jo abhi tak

    do-alam aaina-bardar sa hai

    ye duniya miT gai hoti kabhi ki

    magar ek nam aisa aa gaya hai

    mohabbat hai 'rasa' meri ibaadat

    ye mera dil mera dast-e-dua hai

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Rasa Chughtai

    Rasa Chughtai

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    mohabbat KHabt hai ya waswasa hai Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now