aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mohabbat mein tapake-zahiri se kuchh nahin hota

Hari Chand Akhtar

mohabbat mein tapake-zahiri se kuchh nahin hota

Hari Chand Akhtar

MORE BYHari Chand Akhtar

    mohabbat meñ tapāke-zāhirī se kuchh nahīñ hotā

    jahāñ dil ko lagī ho dil-lagī se kuchh nahīñ hotā

    ye hai jabr-e-mashiyat mirī taqdīr hai yārab

    sahārā jis letā huuñ usī se kuchh nahīñ hotā

    koī merī ḳhatā hai tirī san.at ḳhāmī hai

    farishte kah rahe haiñ aadmī se kuchh nahīñ hotā

    tire ahkām duniyā mire a.amāl mahshar

    yahāñ merī vahāñ terī ḳhushī se kuchh nahīñ hotā

    razā terī likhā taqdīr merī ziyāñ-koshī

    kisī dostī dushmanī se kuchh nahīñ hotā

    mohabbat mein tapake-zahiri se kuchh nahin hota

    jahan dil ko lagi ho dil-lagi se kuchh nahin hota

    ye hai jabr-e-mashiyat ya meri taqdir hai yarab

    sahaara jis ka leta hun usi se kuchh nahin hota

    koi meri KHata hai ya teri sanat ki KHami hai

    farishte kah rahe hain aadmi se kuchh nahin hota

    tere ahkaam ki duniya mere aamal ka mahshar

    yahan meri wahan teri KHushi se kuchh nahin hota

    raza teri likha taqdir ka meri ziyan-koshi

    kisi ki dosti ya dushmani se kuchh nahin hota

    Source:

    Kufr-o-iman (Pg. 60)

    • Author: Hari chand Akhtar
      • Publisher: Satpaal, kucha Khakan Urdu Bazar- Delhi
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now