mohabbat rang lati hai jawani ki bahaaron mein
mohabbat rang laatī hai javānī kī bahāroñ meñ
nigāheñ DhūñD letī haiñ sanam-gar ko hazāroñ meñ
zamāne se alag apnā hameñ andāz rakhnā hai
chalo chal ke raheñ ham tum sharāfat ke dayāroñ meñ
jinheñ pāgal samajhne kī zamāna bhuul kartā hai
vafā mahdūd rahtī hai unhīñ ulfat ke māroñ meñ
samundar paar karne kā irāda thā bahut apnā
magar kashtī mirī 'muktā' ulajh baiThī kināroñ meñ
mohabbat rang lati hai jawani ki bahaaron mein
nigahen DhunD leti hain sanam-gar ko hazaron mein
zamane se alag apna hamein andaz rakhna hai
chalo chal ke rahen hum tum sharafat ke dayaron mein
jinhen pagal samajhne ki zamana bhul karta hai
wafa mahdud rahti hai unhin ulfat ke maron mein
samundar par karne ka irada tha bahut apna
magar kashti meri 'mukta' ulajh baiThi kinaron mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.