aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

taskin-e-dil-e-mahzun na hui wo sai-e-karam farma bhi gae

Asrarul Haq Majaz

taskin-e-dil-e-mahzun na hui wo sai-e-karam farma bhi gae

Asrarul Haq Majaz

MORE BYAsrarul Haq Majaz

    Interesting Fact

    The first line of the last sher of this ghazal is often incorrectly quoted and sung as 'is mahfil-e-kaif-o-masti mein'. The correct version is 'us mahfil-e-kaif-o-masti mein us anjuman...'

    taskīn-e-dil-e-mahzūñ na huī vo sa.i-e-karam farmā bhī ga.e

    is sa.i-e-karam ko kyā kahiye bahlā bhī ga.e taḌpā bhī ga.e

    ham arz-e-vafā bhī kar na sake kuchh kah na sake kuchh sun na sake

    yaañ ham ne zabāñ kholī thī vaañ aañkh jhukī sharmā bhī ga.e

    āshuftagī-e-vahshat qasam hairat qasam hasrat qasam

    ab aap kaheñ kuchh na kaheñ ham rāz-e-tabassum bhī ga.e

    rūdād-e-ġham-e-ulfat un se ham kyā kahte kyūñkar kahte

    ik harf na niklā hoñToñ se aur aañkh meñ aañsū aa bhī ga.e

    arbāb-e-junūñ par furqat meñ ab kyā kahiye kyā kyā guzrī

    aa.e the savād-e-ulfat meñ kuchh kho bhī ga.e kuchh bhī ga.e

    ye rañg-e-bahār-e-ālam hai kyuuñ fikr hai tujh ko ai saaqī

    mahfil to tirī suunī na huī kuchh uTh bhī ga.e kuchh aa bhī ga.e

    us mahfil-e-kaif-o-mastī meñ us anjuman-e-irfānī meñ

    sab jām-ba-kaf baiThe rahe ham bhī ga.e chhalkā bhī ga.e

    taskin-e-dil-e-mahzun na hui wo sai-e-karam farma bhi gae

    is sai-e-karam ko kya kahiye bahla bhi gae taDpa bhi gae

    hum arz-e-wafa bhi kar na sake kuchh kah na sake kuchh sun na sake

    yan hum ne zaban hi kholi thi wan aankh jhuki sharma bhi gae

    aashuftagi-e-wahshat ki qasam hairat ki qasam hasrat ki qasam

    ab aap kahen kuchh ya na kahen hum raaz-e-tabassum pa bhi gae

    rudad-e-gham-e-ulfat un se hum kya kahte kyunkar kahte

    ek harf na nikla honTon se aur aankh mein aansu aa bhi gae

    arbab-e-junun par furqat mein ab kya kahiye kya kya guzri

    aae the sawad-e-ulfat mein kuchh kho bhi gae kuchh pa bhi gae

    ye rang-e-bahaar-e-alam hai kyun fikr hai tujh ko ai saqi

    mahfil to teri suni na hui kuchh uTh bhi gae kuchh aa bhi gae

    us mahfil-e-kaif-o-masti mein us anjuman-e-irfani mein

    sab jam-ba-kaf baiThe hi rahe hum pi bhi gae chhalka bhi gae

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Jagjit Singh

    Jagjit Singh

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Fahad Husain

    Fahad Husain,

    Nomaan Shauque

    taskin-e-dil-e-mahzun na hui wo sai-e-karam farma bhi gae Nomaan Shauque

    Fahad Husain

    ASRAR UL HAQ MAJAZ - TASKIN E DIL E MEHZU NA HUI Fahad Husain

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now