Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mohtaj nahin qafila aawaz-e-dara ka

Syed Yusuf Ali Khan Nazim

mohtaj nahin qafila aawaz-e-dara ka

Syed Yusuf Ali Khan Nazim

MORE BYSyed Yusuf Ali Khan Nazim

    mohtāj nahīñ qāfila āvāz-e-darā

    sīdhī hai rah-e-but-kada ehsān ḳhudā

    gar hai sar-e-daryuza-e-faiz ahl-e-nazar se

    ho rāh-nashīñ marhala-e-faqr fanā

    ḳhush-nūdī-e-ma.ashūq hai ranjūr hai āshiq

    be-dard hai vo ḳhasta ki le naam davā

    is baaġh nik.hat huuñ mushtāq ki ho jaa.e

    jaate hue dam band jahāñ bād-e-sabā

    koī nahīñ kahtā ki ye kis hai karishma

    ik shor hai iisā ke dam-e-rūh-fazā

    jhāḌeñ tire ushshāq use gard samajh kar

    paḌ jaa.e agar sar pe kabhī saaya humā

    tan fart-e-latāfat se ho jab rūh-e-mujassam

    kyā zor chale kashmakash-e-band-e-qabā

    kab kālbud-e-ḳhāk meñ ho itnī nazākat

    jo but hai vo putlā hai magar nāz-o-adā

    yuuñ qatl kare ġhamza-e-dildār kaheñ kyā

    jauhar na kaheñ gar mizha ki teġh-e-qazā

    kyā daane ḳhvāhish ki hai tāsīr ki jis se

    hotā hai guzar daam meñ murġhān-e-havā

    asrār haqīqat ho ash.ār meñ shāreh

    kyā hausla hai 'nāzim'-e-āshufta-navā

    mohtaj nahin qafila aawaz-e-dara ka

    sidhi hai rah-e-but-kada ehsan KHuda ka

    gar hai sar-e-daryuza-e-faiz ahl-e-nazar se

    ho rah-nashin marhala-e-faqr fana ka

    KHush-nudi-e-mashuq hai ranjur hai aashiq

    be-dard hai wo KHasta ki le nam dawa ka

    is bagh ki nikhat ka hun mushtaq ki ho jae

    jate hue dam band jahan baad-e-saba ka

    koi nahin kahta ki ye kis ka hai karishma

    ek shor hai isa ke dam-e-ruh-faza ka

    jhaDen tere ushshaq use gard samajh kar

    paD jae agar sar pe kabhi saya huma ka

    tan fart-e-latafat se ho jab ruh-e-mujassam

    kya zor chale kashmakash-e-band-e-qaba ka

    kab kalbud-e-KHak mein ho itni nazakat

    jo but hai wo putla hai magar naz-o-ada ka

    yun qatl kare ghamza-e-dildar kahen kya

    jauhar na kahen gar mizha ki tegh-e-qaza ka

    kya dane ki KHwahish ki hai tasir ki jis se

    hota hai guzar dam mein murghan-e-hawa ka

    asrar haqiqat ka ho ashaar mein shaareh

    kya hausla hai 'nazim'-e-ashufta-nawa ka

    Source:

    Deewan-e-Nazim (Pg. ebook-3 page4)

    • Author: Syed Yusuf Ali Khan Nazim
      • Edition: 1915
      • Publisher: An-Nazir Press, Lucknow
      • Year of Publication: 1915
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now